Sunday, January 8, 2012

Meri raaton ki raahat din ka itme'anan ley jaana...

Meri raaton ki raahat din ka itme'anan ley jaana
Tumharay kaam aa jaaye ga,Ye samaan ley jaana

Tumharay baad kia rakhna anaa say waasta koi?
Tum apnay sath mera um'r bhar ka maan ley jaana

Shikasta k kuch raizay phaRay hain farsh per, Chun lo
Ager tum joR saktay ho to ye ghuldaan ley jaana

Udhar almariyon mein chand oraaq e pershaan hain
Merey ye baaqi'manda khwaab meri jaan ley jaana

Tumhain aisay to khali hath rukhsat kar nahi saktay
Puraani dosti hai is ki kuch pehchaan ley jaana

Irada kar liya hai tum ne ghar sach much bichaRnay ka
To phir apnay ye saaray waada o pimaan ley jaana

Ager thoRi bohat hai shairy say un ko dil'chaspi
To un k saamnay tum mera ye deewan ley jaana

Aitebaar Sajid