Wednesday, September 21, 2011

Jo libas tujh ko pasand ho main usi libas main aaon ga..

Na yaqeen wajood pey kar ker, na rida e yaas main aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho main usi libas main aaon ga

Mujhey raygaan na talash ker, main safar men tha, main safar men hoon
Kabhi noor-e-harf ki raah sey dil e khudshanaas main aaon ga

Tu hey ajnabi meri zaat sey kabhi pooch kerb ki raat sey
Main nehaan hoon maoj-e-farat sey,main nazar to piyas main aaon ga

Mujhey doosron sey talab na ker mujhey khud sey mang key dekhna
Main barang-e-aks e gohar numa kaf-e-iltamas main aaon ga

Meari justjoo ney jo dam lia, meray bekaraan ney kaha mujhey
Keh main aagahi sey hoon mawara na had-e-hawaas main aaon ga

Mujhey ab tu shok sey bhool ja, yeh naz kam to nahin keh main
Teri chahton ki kitab key kisi iqtabas main aaon ga

Kabhi mujh ko MOHSIN naey dinon ki tapash men dhonday ga wo kahin
Kabhi yad us ko gaey dinon key safar ki baas main aaon ga

Teray Liye Hontoon Par Dua Kyun Nahe Aati..??

Bichray Howey Yaroon Ki Sadaa Kyun Nahe Aati..??
Ab Roozn-e-Zindaa'n Say Hawa Kyun Nahe Aati..??

Tu Ab Bhi Salamat Hay Safar Mein Toa Musafir...!!
Teray Leye Hontoon Par Dua Kyun Nahe Aati..??

Pathar Hoo Toa Kyun Khoof-e-Shab-e-Gham Say Ho Larzaa'n..??
Insaan Hoo Toa Jeenay Ki Aadaa Kyun Nahe Aati..??

Ek Pairr Kay Saaye Say Hawa Pooch Rahi Hay...!!
Ab Dasht mein Makhlooq -e -Khuda Kyun Nahe Aati..??

Chehroon Peh Woh Sarsoon Ki Dhanak Kya Howi Yaroo..!!
Hathoon Say woh Khushboo-e-Hina Kyun Nahe Aati...??

Bastii Mein Sabhi Log Salamath Hein Toa Mohsin ...!!
Awaaz Koi Apnay Siwa Kyun Nahe Aati....??

Mohsin Naqvi

Ishq Chupta Nahin Chupanay Say.....

Ishq Chupta Nahin Chupanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Rok Na Mujh Ko Pass Anay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Ab Mujhay Chorr Kay Na Jana Tum
Dil Mera Torr Kay Na Jana Tum


Tum Tu Aaye Ho Zamanay Say
Kho Na Jana Kisi Bahanay Say

Jaan Jatay Hay Teray Janay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Ishq Chupta Nahin Zamanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Meray Mehbob Kiya Tumhay Hay Khabar
Har Jaga Tum Ko "Dhoondti Hay Nazar"

Dekh Kay Tum Ko Jeeta Marta Hoon
Har Ghari Yaad Tum Ko Karta Hoon

Bhool Sakta Nahi Bholanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Ishq Chupta Nahin Chupanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Apnay Haathon Say Yon Chehray Ko Chupatay Kyun Ho ?


Apnay Haathon Say Yon Chehray Ko chupatay Kyun Ho
Mujh Say Sharmatay Ho Tu Saamnay Aatay Kyun Ho


Tum Kabhi Meri Tarah Kar Bhi Lo Iqraar -e- Wafa
Pyaar Kartay Ho Tu Pher, Pyaar Chupatay Kyun Ho.


Ashq Aankhon Main Meray Dekh Kay Rotay Kyun Ho
Dil Bhar Aata Hay Tu Pher Dil Dukhatay Kyun Ho


In Say Vabasta Hay Jab Mera Muqaddar Phir Tum
Meray Shano Say Ye Zulf Hatatay Kyun Ho


Roz Mar Mar Kay Mujhay Jeenay Ko Kehtay Ho
Milnay Aatay Ho Tu Phir Lout Kay Jatay Kyun Ho

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi .....

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi
Yeh Honton Pay Muskaan Kesi

Tanha Akeli Kaha Ghum Ho Tum
Kin Udasiyon Ko Dil Mai Basai Hoi Ho Tum

Lagta Hay Yon Kuch Kho Gaya Hain
Jisey Yoon Dhoond Rahi Ho Tum

Is Ghum Ko Bhula Do Tum
In Tanhyion Ko Rafa Ker Do Tum

Yaad Kero Apnay KHUDA Ko Tum
Yaqeen Aur Aitamaad Rekho Usi Per Tum

Muraday Pori Karnay Wala Hay Bas Ak Wohi
Khushyan Or Muskurahatey Mang Lo Usi Say Tum

Aao Mera Haath Tham Lo Tum
Tanhaii Ko Chorr Ker Zindagi Ko Apna Lo Tum

Ab Thak Say Gaye Hain Hum Wafa Kartay Kartay .....

Ab Thak Say Gaye Hain Hum Wafa Kartay Kartay
Woh Haaray Nahi Hain Jafa Kartay Kartay

Hum Tang Aa Gaye Hain Unhain Mana Mana Kar
Woh Thakay Nahi Hain Khafa Kartay Kartay

Uthaye Jo Hath Dua Kay Liye Tu Ruk Giya
Ek Arsa Ho Giya Hai Khata Kartay Kartay

lagta hai keh mosam k ishaaray nahi achay...

kehta hi raha tujhse keh piyary nahi achay
her waqt yeh palkon pe sitare nahi achay

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

un hi se to abaad hai yeh shehar-e-muhabbat
kehte ho jinhain dard k maaray nahi achay

is shehar mein tera bhi koi jurm to hoga
ilzaam meri zaat pe saaray nahi achay

aise to parindon ki yeh hijrat nahi hai
lagta hai keh mosam k ishaaray nahi achay

ishq mein behta hai jo darya ba darya, kon hai...

ishq mein behta hai jo darya ba darya, kon hai
ham bhi dekhein, dard k sehara mein aisa kon hai

aik lamha hi guzar jaaye kaheen tere baghair
dil ko samjhaya to hai, lekin samjhta kon hai

meri be-aawaaz tanhaai bataaye kiya mujhe
shehar mein hai jis ki khaatir shor barpaa, kon hai

sar pe yeh jaltay huwe suraj ko andaazaa nahi
bay-talab is dasht mein ghar se nikalta kon hai

kho gayee hai waqt ki lehron mein sachaii to kiya
waqt hi khud faisla kerta hai, sacha kon hai

aik se is shehar mein hain aashna na aashna
kiya bataain tujh ko meri jaan keh kaisa kon hai

din ka suraj kiya uthaayega meri raaton ka gham
aur phir khalid kisi ka bohj uthaata kon hai

Merii Nigaahon kay Aaenay meiN, haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay

Merii Nigaahon kay Aaenay meiN, haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay
Yehi Mataa-e-Hayaat haiN aur yehi haiN HaasiL kamaaL Lamhay

yeh Zindagi kay Niraalay Mosam humain to ab tak samajh na aaey
jo yaad-gaar-e-Hayaat thehrey they ab tak wuhi wabaaL Lamhay

Tumhara kya hay keh tum tou Rastay badaL ke bilkul sakoon say ho
Humain tou masmaar kar gaey haiN Judaai kay yeh NidhaaL Lamhay

Humain bhala kab khabaR thi JanaN,humain bhaLa kab pata tha JanaaN
Jo maat kar day gii apnaa JeewaN, chalain gay aesii bhii chaaL Lamhay

Humain to apna aap bhii ab shifaaF dikhtaa nahiN hay Logo
Humari AankhoN meiN bhar gaey haiN yeh kesi Gard-e-malaaL Lamhay

Meri Aankhon Main Ummad Aaya Hai Darya Dil Ka...

meri aankhon main ummad aaya hai darya dil ka
phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka

bus muhabbat se riwayat hai kahani dil ki
chaar harfon se ibarat hai fasana dil ka

us ne dali hi nahin bheek nazar kee aur main
liay aankhon main kharra reh gaya kaasa dil ka

saans rukti hai tau phir jaan ka khayal aata hai
dil dharakta hai tau lag jata hai dharka dil ka

issi koshish main buhat umar ganwa di main ne
phir bhi poora na huwa mujh se khasaara dil ka

meri payaab tamanna’in batati hain mujhay
sookh jaye ga koi roz main darya dil ka

badli badli si sada deti hai dharkan dil ki
hijr main aur hi ho jata hai lehja dil ka

kiyun na aye dost abhi tark-e muhabbat kar lain
iss se pehlay ke badal jaye iraada dil ka

fikr-e-dunya main mere dil ko bhulanay walay
teri dunya se ziada hai asaasa dil ka

us ki ankhon ne kaha chupke se, khul ja sim sim
khul gaya ain ussi waqt dareecha dil ka

ishq katay ga abhi aur chatanain "sagar"
aqal dekhi gi abhi aur tamasha dil ka

Teri Jabeen Pe Likha Tha Ke To Bhula De Ga...

Teri Jabeen Pe Likha Tha Ke To Bhula De Ga
So Main Bhi Bhanp Gaya Tha Ke To Bhula De Ga

Har Ek Shaks Se Larta Raha Main Tere Liye
Har Ek Ne Mujhse Kaha Tha Ke To Bhula De Ga

Ye Teri Aankon Pe Halke Se Par Gaye Kese
Mujhy To, To Ne Kaha Tha Ke To Bhula De Ga

Nikaal Laya Hay Ilzaam Phir Purane To
Ye Hum Ne Te Bhi Kiya Tha Ke To Bhula De Ga

Kuch Is Liye Bhi Ke Til Tha Teri Ankhon Main
Mujhy To Tab Bhi Pata Tha To Bhula De Ga

Jo Nazar Se Door Nikal Giya,Usay Yaad Karta Hay Har Koi...

Sar e taq e jaan Na Chiragh Hai,Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi,
Ujab Ek Arsa-e-daraz Hai,Na Guman Hai Na Khabar Koi

Nahin Aab To Koi Malal Bhi,Kisi Wapsi Ka Khiyal Bhi
Gham-e-baikasi Ne Mita Diya,Meray Dil Main Tha Bhi Aagar Koi

Tujhay Kia Khabar Ke Raat Bhar,Tujhay Daikh Paanay Ko Ek Nazar
Raha Sath Chand Kay Muntazar,Teri Khidkion Ke Udhar Koi

Sar-e-shakh-e-jan Teray Naam Ka,Ujab Ek Taza Gulab Tha
Jisay Aandhi’on Se Khatar Na Tha Jisay Tha Khizan Ka Na Der Koi

Teri Bairukhi Kay Diyar Main,Ghani Tairgi Ke Hisar Main,
Jalay Kis Tarah Se Chiragh e jan,Karay Kis Taraf Ko Safar Koi

Katay Waqt Chahay Aazab Main,Kisi Khuaab Main, Ya Sarab Main
Jo Nazar Se Door Nikal Giya,Usay Yaad Karta Hay Har Koi

Sar-e-bazm Jitnay Chiragh Thay,Woh Tamam Ramz Shanas Thay
Teri Chashm-e-khush Ke Lihaz Se,Nahin Boolta Tha Magar Koi

Chehra Mera Tha Nigaheen Us Ki .....

Chehra Mera Tha Nigaheen Us Ki
Khamoshi Main Bhi Wo Baatein Us Ki

Meray Chehray Pay Ghazal Likhti Gaii
Sher Kehti Hoii Aankhain Us Ki

Shokh Lamhon Ka Pata Denay Lagi
Taiz Hoti Hoii Saansay Us Ki

Aisay Mousam Bhi Guzara Hum Nay
Subahain Apni Thi Shamay Us Ki

Dehaan Main Us Kay Yeh Aalam Tha Kabhi
Aankhay Mahataab Ki Yaaday Us Ki

Feslay Mouj -e- Hawa Nay Likhay
Aandhiyaan Meri Baharay Us Ki

Neend Is Soch Say Tooti Akser
Kis Tarah Kaati Hain Raatain Us Ki

Dorr Reh Kar Bhi Sada Rehti Hain
Mujh Ko Thamay Howay Bahain Us Ki

Reh Reh Ker Ro Padegi.. Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga..

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein..
Use Uski Saheliyon Ney Sajaya Hoga..

Meri Jaan Ke Gore Haathon Par..
Sakhiyon Ney Mehndi Ko Lagaya Hoga..

Boht Gehra Chadega Mehndi Ka Rang..
Us Mehndi Main Usney Mera Naam Chupaya Hoga..

Reh Reh Ker Ro Padegi..
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga..

Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Main..
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga..

Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh..
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga..

Aaj Meri Jaan Ney..
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga..

Usney Beti Hone Ka..
Dosto Aaj Har Farz Nibhaya Hoga..

Majboor Hogi Woh Sabsey Zyada..
Sochta Hoon Kis Tarah Usney Khud Ko Samjhaya Hoga..

Apne Haathon Say Usney..
Mere Khaaton Ko Jalaya Hoga..

Khud Ko Mazboot Bana Ker Usney..
Apne Dil Say Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga..

Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Main..
Kuch Na Us Pagli Ney Mere Bageir Khaya Hoga..

Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska..
Jab Waqt Usski Bidayi Ka Aaya Hoga..

Bade Pyaar Say Meri Jaan Ko..
Maa Baap Ney Doli Main Bithaya Hoga..

Ro Padegi Aatma Bhi..
Dil Bhi Cheekha or Chilaya Hoga…

Aaj Apney Maa Baap Ke Liye..
Usney Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga..

Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse..
Der Hai K Zehar Chupke Say Us ney Khaya Hoga…

Gareeb e shehar e sitam hun...

Nahi k milnay milaanay ka silsilah rakhna
kissi bhi satah peh koe toh raabta rakhna

marrayngay log humaray siwa Tum pe bohat
yeh jurm hay toh iss jurm ki saza rakhna

madad ki Tum se khayr tawaqo kiya hogi
ghareeb e shehar e sitam hun , Mera pata rakhna

bas Ayk Shaam Humayn chaahiye, na puchna kiyun
yeh baat kissi aur Shaam par utha rakhna

naye safar pe rawana huwa hon az sar e nau
jab aounga toh mera naam bhi neya rakhna

Faseel e shauq uthana , Zafar zarur magar
kisi taraf se nikalnay ka raasta rakhna

kidhar say ho kay bahaaroN kay kaarwaaN guzray?

Chaman ka haal to yeh hay keh khaak urrti hay
kidhar say ho kay bahaaroN kay kaarwaaN guzray

dayaar-e-yaar ka saara safar anokha tha
qadam, qadam pay naya day kay imtehaaN guzrey

saba bhi aai to phooloN kay muNh jhulsa kay gai
yahaaN say abr bhi barsaa kay bijliyaaN guzray

kabhi to waar raqeeboN kay day gaey thay mazaa
kabhi to pyar azeezoN kay bhi giraaN guzray

ay dil sambhal keh kisi ko hisaab daina hay
keh zindagaani kay lamhey kahaN, kahaN guzray

Is DIL Nay Teray Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki ...

Is DIL Nay Teray Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Hadd Ye Keh Dharaknay Ki Jasarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Ahzaaz Howa Hay Usay Hasil
Jis Nay Meray Khowabon Main Sharakat Bhi Nahi Ki

Ulfat Tu Bari Baat Hay Hum Say Tu Sar -e- Shehar
Logon Nay Kabhi Dhang Say Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadab -e- Safar Ab Wo Seekhatay Hain Jinho Nay
Do Chaar Qadam Tay Ye Musafat Bhi Nahi Ki

Kia Apni Safaii Main Bayaan Detay Keh Hum Nay
Na Karda Gunahi Ki Wazahat Bhi Nahi Ki

Khamosh Tamashaii Kay Manind Sar -e- Bazam
So Zakham Sahay Dil Pay, Shikayat Bhi Nahi Ki

Us Ghar Kay Sab Hi Log Mujhay Chornay Aaye
Dehleez Talak Us Nay Ye Zehmat Bhi Nahi Ki

Us Nay Bhi Gulamon Ki Safa'on Main Humay Rakha
Is DIL Pay Kabhi Jis Nay Hakomat Bhi Nahi Ki

Merey aasmaan k haath mein bas aik chaand tha aas ka...

Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey
Ye ab ke khizaan ko kya huwa kiun meri nigah mein thehar gai

Mein kya bataaon ke ab ki baar chaman ki haalat ajeeb thi
Har phool maatam-sara mila meri jahan jahan bhi nazar gai

Ye kon jaaney ke kya huwa mein dhoond dhoond ke thak gaya
Ke wo jo aek titli thi baagh mein najane woh bhi kidhar gai

Abhi hey zara wo asar jisey meri zaat ney pooja kabhi magar
Wo junoon to kab ka khatam huwa wo soorat to dil sey utar gai

Mujhey kis jurm ki saza mili ke meri rooh tak hey thaki hui
Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai

Ye chiraagh-e-jaan bhi ajeeb hey ke jala huwa hey abhi talak
Teri bewafaai ki aandhiyaan to kabhi ki aa ke guzar gai

Merey aasmaan k haath mein bas aik chaand tha aas ka
Usey baadlon ney nigal liya to meri kainaat hi ujarr gai...!!!

us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par...

apni he rawani men behta nazar aata hai
yeh shehar bulandi say darya nazar aata hai

deta hai koi apnay daaman ki hawa isko
shola sa meray dil men jalta nazar aata hai

us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par
wo daagh bhi ab lekin jata nazar aata hai

aankhon kay muqabil hai kesa yeh ajab manzar
sehra to nhi hai lekin sehra nazar aata hai

ik shakal see banti hai her shab meri neendon men
ik phool sa khavabon men khilta nazar aata hai

aankhon nay nhi dekhi us jism ki ranaaee
yeh chaar taraf jis ka saya nazar aata hai

darya ko kinaray say kaya dekhtay rehtay ho
ander say kabhi dekho kesa nazar aata hai

phir zau men nadeem apni kuch kum hai sitara woh
yeh raat ka aaina dhundla nazar aata hai

Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain...

Dhoop main chhaaon, andheray main diya ho jana
Kitna mushkil hai kisi dukh ki dawa ho jana

Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain
Tum bhi us lamhay masroof-e-dua ho jana

Aisa lagta hai ta’aluq nahi toota tujh say
Zakhm-e-dil ka teray dekhay say hara ho jana

Kabhi jub dhoop ki shiddat nay safar rok diya
Yaad aaya teray gaisoo ka ghata ho jana

ab koo-e-malamat say guzarna hai mujhay
Tum kisi morr per chaho to juda ho jana

Sab Say Chupa Ker Dard Jo Woh Muskura Dia .....

Sab Say Chupa Ker Dard Jo Woh Muskura Dia
Is Ki Hasni Nay Aaj Tu Mujh Ko Rula Dia

Lehjay Say Uth Raha Tha Har Ak Dard Ka Dhuwa
Chehra Bata Raha Tha Keh Kuch Ganwah Dia

Aawaz Main Therao Tha Aankhon Main Nami Thi
Or Keh Raha Tha Main Nay Sab Kuch Bhula Dia

Janay Kia Us Ko logon Say Shikayat Thi
Tanhaiyon Kay Dees Main Khud Ko Basa Liya

Koo-Ba-Koo Phail Gaii Baat Shana-saii Ki .....

Koo-Ba-Koo Phail Gaii Baat Shana-saii Ki
Us Nay Khushboo Ki Terah Meri Pazi-raii Ki

Kesay Keh Doon Keh Mujhay Chorr Dia Hay Us Nay
Baat Tu Sach Hay, Mager Baat Hay Ruswaii Ki

Wo Kahi Bhi Gia, Louta Tu Meray Pass Aaya
Bas, Yahi Baat Hay Achi Meray Har-jaii Ki

Tera Pehloo Teray Dil Ki Tarah Aabad Rahay
Tujh Pay Guzray Na Qyamat Shab -e- Tanhaii Ki

Us Nay Jalti Hoii Paishani Pay Jab Haath Rakha
Roh Tak Aa Gaii Taseer Masehaii Ki

Ab Bhi Barsat Kay Rutton Main Badan Toot-ta Hay
Jaag Uthti Hain Ajab Khowahishay Angraii Ki

[ Parveen Shaker ]

Koi din ger zindgani aur hai...

Koi din ger zindgani aur hai
Apne jee main hamne thaani aur hai.

Aatishe dokhaj main ye germi kahan
Soze-gam-haye-nihani aur hai.

Baarha dekhi hai unki ranjishen
Per abke sargarni aur hai.

Deke khat, mooh dekhta hai nama ber
Kuch to paigaame jubani aur hai.

Ho chuki 'Ghalib' balayen sab tamaam
Ek merge - naaghaani aur hai.

Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Se

Aankhon Main Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Se
Lub Pe Hain Kuch Sawal Se, Dil Main Hain Kuch Malaal Se

Tu Jo Gaya To Yuun Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Se

Itne Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
So'un Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Se

Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Se

Tujh Si Hasee'n Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Dunia Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Se...

Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Ke Wo Mujhe
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Se...!!!!

Zakhmon se Gosha-E-Dil-e-Veera'n Sja lia,

Zakhmon se Gosha-E-Dil-e-Veera'n Sja lia,
Hm ne Khizan mein Jshn-E-Baharan Mna lia..

Soraj ki Chaal chl k Bayaban ki Dhoop ne,
Ek Be-Kafn Darakht ka Saya Chura lia..

Barbadiyon ki Rat meri Bebasi tu Dekh,
Girte hue Makaan ne mera Aasra lia..

Yaron ka Zikr kia? K Wfa ki Talash mein,
Hm ne tu Dushmano ko b Apna Bna lia..

Aahat suni Hwa ki tu MOHSIN ne Khoaf se,
Jalta hua Dia Tah-E-Daaman Chupa lia...

Zakhmon se Gosha-E-Dil-e-Veera'n Sja lia,

Zakhmon se Gosha-E-Dil-e-Veera'n Sja lia,
Hm ne Khizan mein Jshn-E-Baharan Mna lia..

Soraj ki Chaal chl k Bayaban ki Dhoop ne,
Ek Be-Kafn Darakht ka Saya Chura lia..

Barbadiyon ki Rat meri Bebasi tu Dekh,
Girte hue Makaan ne mera Aasra lia..

Yaron ka Zikr kia? K Wfa ki Talash mein,
Hm ne tu Dushmano ko b Apna Bna lia..

Aahat suni Hwa ki tu MOHSIN ne Khoaf se,
Jalta hua Dia Tah-E-Daaman Chupa lia...

Tuesday, September 20, 2011

!!!! Abhi Dastak Mut Deina !!!!

bohat tootey huway hain hum
abhi dastak mut deina
abhi ankh hai pur nam
abhi dastak mut deina
mere yaar abhi kuch din mere ahwaal na pocho
abhi dil me hain kai gham
abhi dastak mut deina
shab e tanhai mein tarapna hai bohat mujhko
abhi hai dard kuch madham abhi dastak mut deina

Thursday, September 8, 2011

Fursat...

Milay gham se apne fursat to sunaon vo fasana
K tapak pare nazar se may-e-ishrat-e-shabana

Yahi zindagi musiibat yahi zindagi musarrat
Yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana

Kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-madava
Kabhi bijliyon ki Khawhish kabhi fiqr-e-aashiyana

Mere kehkahon k zad par kabhi gardishain jahan ki
Mere ansuon ki rau main kabhi talkhi-e-zamana

Kabhi main hun tujhse naala kabhi mujhse tu pareshan
Kabhi main tera hadaf hun kabhi tu mera nishana

Jise paa saka na zahid jise chuu saka na sufi
Vahi teer chairta hai mera soz-e-shayarana

Bhatuk rahay hain hum...

beray nazuk doar say guzer rahay hain hum
sukon ki talash main awara bhutuk rahey hain hum

zindagi main chahey khosyan hon ya ghum
moat say humkinar hon,khyal yeh jhutuk rahey hain hum

apnay fislon kay khoklay pun ka ahsas hey
sans a rahi hey phir, qun daar per lutuk rahey hain hum

azmaish ki ghari ka taluk kya naseeb say
manzil na mil saki gur,ab khutuk rahey hain hum

koocha koocha kurya kurya...

koocha koocha kurya kurya tugh ko dhondtay hi rahay
sumander hay samnay phir bhi tashna hi rahay

agahi kay dur jo wa honay lagay
tu raha samnay phir bhi muchultay hi rahay

unwan na tha pur silsila chalta hi raha
faraib-e-tabbasum main hum behtay hi rahay

dunya main jo pul sirat par ki hum nay
teray kurb ki tamana mian turuptay hi rahay

Lay ja...

Wafa k khawb muhabbat ka aasra le ja
Agar chala hai to jo kuch mujhe diya le ja

Maqam-e-suud-o-ziyaan aa gaya hai phir jaana
Ye zakhm mere sahi teer tou utha le ja

Yahi hai qismat-e-sehra yahi karam tera
K boond boond ataa kar ghata ghata le ja

Gurur-e-dost se itna bhi dil shikasta na ho
Phir uth k samane daman-e-iltaja le ja

Nadamatain hon tou sar baar-e-dosh hota hai
'Faraz' jaan ke evaz aabru bacha le jaa

Ghum-e-Firaq Say Pehlay...

Ghum-e-Firaq Say Pehlay Shab-e-Visaal Kay Baad
Hai Aur Kya Jisay Dekhay Tery Jamal Kay Baad

Tamam Umar Kati Intizar May Apni
Koi Bhi Dukh Na Mila Phir Tery Malal Kay Baad

Jawab Mil Gaya Mujhey Teri Khamoshi Say
Tumhary Lafz Kyu Khoye Mery Sawal Kay Baad

Tumhary Mery Talauq Pay Yun Khiza Chali
Kabhi Urooj Nahi Hai Jisay Zawal Kay Baad

May Teri Yaad Kay Charchay Ko Dhaanp Do Laikin
Bachyga Kya Meri Jhooli May Is Kamal Kay Baad

Who Aab Ki Baar Mila Is Qadar Takaluf Say
Kay Kuch Bhi Na Poch Paya May Us Say Haal Kay Baad

Khaber na ho...


Woh Bhu'je Gharon Ka Chiragh Tha Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho...!!
Ussey lay gaye Hay Kahan Hawa? Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na HO...!!

Kaye Log Jaan Say Jayein gay, meray Qaatiloon Ki Talash Mein...!!
Meray Qattil Mein Mera Haath Tha, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Woh Tamaam Duniyaa kay Wastey Jo Muhabatoon Ki Misaal Tha..!!
Wohi Apnay Ghar Mein Tha Be-Wafa, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Kahien Masjidoon Mein Shahda'tein Kahen Mandaroon Mein Ada'latein...!!
Yahan Kaun Karta Hay Faisala, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Meray Paas Jitni Hay Roshni Yeahi Chiragh Ki Zindagi..!!
Mein Kahan Jalaa,Mein Kahan Bhujaa, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Mujey Jaan Kar Koi Ajnabi Woh Dekha Rahey Hein Galii Galii...!!
Issi Shaher Mein Mera Ghar Bhi Tha, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Woh Samaj K Dhoop K Dewataa Muje Aaj Poojney Aye Hein...!!
Mein Chiragh Hoon Teri Shaam Ka, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Hoo..!!

Kaisay...

Dil ShiKasta hOo'n kOii Geet Sunaao'n Kaisey ?
Meer e Mehfil Hii Nahii, Bazam SajaaO'n Kaisey ?

Apni PehChaan tO Halaat Mai Khho Baitha hoO'n
Be-NiShaa'n hO Key Teray Saamney Aao'n Kaisey?

Behtey Paani Kii Trah mUjh Ko Rawa'n Rehna hAi
Apni Fitrat Key TaQazO'n Ko BhulaaO'n Kaisey ?

mUjh Ko Socho'n Kii Aseerii Sey Rehaii Na Millii
Teri Aawaaz Mein Aawaaz MillaaO'n Kaisey ?

Main tO KhUd TeerGi e Shab Ka mUsafir thhehra
kOii Shama Teri RaahO'n Mein jAlaaOn Kaisey ?

Dil Key Veraaney Mein kyuO'n mUjh Ko Sada Daitey hO
Main Gya WaQt hOo'n Ab Loat Key Aao'n Kaisey ?

Ghar Key jAlney Ka Sabab POoch Rhey hO "Aasim"
Dill k jalne Kii SharOoaat BataaO'n Kaisey ?

Nahi Aya...

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ...

Justajuu

justajuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa ham ne

tujh ko rusavaa na kiyaa Khud bhii pashemaa.N na huye
ishq kii rasm ko is tarah nibhaayaa ham ne

kab milii thii kahaa.N bichha.Dii thii hame.n yaad nahii.n
zindagii tujh ko to bas Khvaab me.n dekhaa ham ne

ai 'Ada' aur sunaaye bhii to kyaa haal apanaa
umr kaa lambaa safar tay kiyaa tanhaa ham ne

Dil Main Bas Yeh Malaal Hai...

Terey Bin Katti Meri Zindagi Merey Dil Main Bas Yeh Malaal Hai
Mujhay Chahata Hai Tu Ab Bhi Kia Merey Lab Pay Bas Yeh Sawal Hai

Tu Hai Is Taraf, Tu Hai Us Taraf, Tu Hai Khud Zameen, Tu Hai Aasmaan
Tu Hai Noor Tujh Say Hai Rooshni, Tu Hi Rang Hai, Tu Jamaal Hai

Mujhay Gham Baray Hi Aziz Hain Merey Sath Thay Merey Sath Hain
Meri Aarzoo Main Nahin Khushi Woh Khayal Thay Woh Khayal Hain

Na Raqeeb Hai, Na Habib Hai, Na Hai Dil Main Gham, Na Hai Aankh Nam
Yeh Hai Dour Kia, Yeh Diyaar Kia, Jahan Hijar Hai, Na Wisaal Hai

Tu Hai Door Dil Say Bata Kahan, Tujhay Dhoondna Kia Yahan Wahan
Terey Hijar Main Hai Maza Alaag, Teri Aazoo Hi Kamaal Hai

Koi Kion Kisi Ka Ho Hum Safar, Kisi Ko Kisi Ki Ho Kion Khabar
Yahan Fiqar Sab Ki Judda Judda, Yahan Sab Ko Apna Khayaal Hai...

Mera Saya...

Kabhi Aans0o kAbhi kHusHb0o kAbhi Naghma bAn kAr
Hum Se hAr sHaAm MiLi tEra cHeHra bAn kAr

cHaNd Nikla hai tEri Aankh k AansOo ki taRah
Ph0ol mEhkay hAin tEri Zulf Ka Saya bAn kAr

mEri jAagi Hui Raaton ko Usi ki Hai taLasH
sO rAha hai mEri Aankhon mAin j0 sApna bAn kAr

DiL k Kaaghaz pEr utArta Hai Tu Sheron Ki Tarah
mEre Honton Pe mAcHaLta hai Tu Naghma bAn kAr

Raat Bhi Aaye t0 Bujhti Nahin cHeHrey ki cHamAk
Rooh mEin Phail Gaya Hai Woh ujAala bAn kAr

mEra Kya HaaL Hai yEh Aa k Kabhi Dekh To Ley
jEe rAha Ho0n tEra BhooLa Hua vaAda bAn kAr

DhUup mEin Kho gAya w0h hAath cHhura kAr
gHar Se j0 sAath cHala tHa mEra Saya bAn kAr

Monday, September 5, 2011

Mohabbat hai ...

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Mehfil main jo milna nighahein jhuka lena
koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai

Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna
Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai

Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin
Yeh mere ru - ba - ru kehna mujhe tum se Mohabbat hai

Deikha....

Rukh-E-Shabab se Aanchal Jo Sirakta Deikha,
Chaand Aakash K Jhurrmat Se Nikaltaa Deikha,

Mujh Ko Mehsoos Hua Dard-E-Judai Kya Hai,
Main Ne Ik Phool Ko Tehni Se Bikhartaa Deikha,

Zindagi Kya Hai Meray Dost Zara Mujh Se Poochh,
Main Ne Gulshan Ko Baharo'n Mein Ujhartaa Deikha.

Manzilen kyaa hain raastaa kyaa hai,

Manzilen kyaa hain raastaa kyaa hai,
hauslaa ho to faaslaa kyaa hai.

Woh sazaa deke door jaa baithaa,
kis se poochoon mirii khataa kyaa hai.

Jab bhii chahegaa chiin legaa woh,
sab usii kaa hai aapkaa kyaa hai.

Tum humaare qariib baithe ho,
ab dawaa kaisii ab duaa kyaa hai.

Chaandnii aaj kis liye nam hai,
Chaand kii aankh mein chubhaa kyaa hai.

kaesa lagega?

Ban jaoon agar Tum sa, kaesa lagega?
Her Pal rahoon Tum se Khafa, kesa lagega?

Parhte ho Mujhe Tum Namazon ki tarah se
Ho jaoon agar Tum se Qaza, Kesa lagega?

Tum Pyar mai khood ko mitaane per ho Raazi
Ban jaye agar Pyar Saza, Kesa lagega?

Khud se b ziada ho Yaqeen Tum ko kisi per
Wo Shakhs hi de jaye Daga, Kesa lagega?

Tum auron ki Mehfil mai Diya ban k jalo
Aur Tanhai mile Tum ko To phir, Kesa lagega?

ban jaoon agar Tum sa, kesa lagega?
Her Pal rahoon Tum se Khafa, kesa lagega?

Parhte ho Mujhe Tum Namazon ki tarah se
Ho jaoon agar Tum se Qaza, Kesa lagega?

Tum Pyar mai khood ko mitaane per ho Raazi
Ban jaye agar Pyar Saza, Kesa lagega?

Teri Aahat Par...

Zakhm Muskurate hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jate hain Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte hain
Chand Muskurate hain Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate hain Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate hain Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate hain Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate hain Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate hain Ab Bhi Teri Aahat Per.

Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hay???

Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hay
Mery gumnaam Muhabbat ki khabbar kis ko hay

Kis ko ahsaas meray shidat-e-jazbat ka hay
Meray Halaat mery Wahshat ki khabar kis ko hay

Main nay chup chaap Muhabbat kay sitam jheelay han
Mery ais darjah sharaafat ki khabar kis ko hay

Saturday, September 3, 2011

Qalam Torr Dia

Us Nay Aashufta Mizaji Ko Naya Morr Dia
Mujh Ko Pa-Ba-Zanjeer Kia Or Chorr Dia

Us Nay Aanchal Say Nikali Meray Gum-Gushta Kitaab
Or Chupkay Say Mohabbat Ka Waraq Morr Dia

Ham Ko Maloom Tha Anjaam -e- Mohabbat Ham Nay
Aakhri Hurf Say Pehlay He Qalam Torr Dia

Chalo Choro.....

Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro
Kabhi kuch kehte - kehte keh dena chalo chhoro

Yeh ada'ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun
Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro

Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai
Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro

Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main
Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro

Kha'hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main
Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro

Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga
Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro

Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki
Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro......