Saturday, December 31, 2011

Kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi....

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi

supurd kar k use chandni k hathon
main apne ghar k andheron ko laut aungi

badan k karb ko wo bhi samajh na payega
main dil main roungi ankhon main muskuraungi

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaungi

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi

samaaton main ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na paungi

"Mumkin hay meray baghair bita lo ye zindagi"...

Mumkin hay chashm-e-num ko sitara na ker sako
Mumkin hay tum bhi koi ishara na ker sako

Mumkin hay zeher day kay ataa ker do zindagi
Mumkin hay ye karam bhi dobara na ker sako

Mumkin hay mera hukam bhi tum ko qabool ho
Mumkin hay ye iltajaa bhi gawaraa na ker sako

Mumkin hay do qadam pe badal jao rasta
Mumkin hay umer-bhar kinara na ker sako

"Mumkin hay meray baghair bita lo ye zindagi
Mumkin hay apnay saath bhi guzaraa na ker sako"

Chalo Choro....

Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro
Kabhi kuch kehte - kehte keh dena chalo chhoro

Yeh ada'ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun
Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro

Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai
Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro

Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main
Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro

Kha'hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main
Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro

Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga
Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro

Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki
Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro......

Friday, December 30, 2011

Humdam.....

Koi Humdam Naa Raha
Koi Sahara Naa Raha

Hum Kisi Ke Naa Rahe
Koi Humara Naa Raha

Shaam Tanhaiye Ki Hai
Aayegi Manzil Kaise

Jo Mujhe Raah Dikha De
Wohi Taraa Naa Raha

Koi Humdan Naa Rahaa
Aaye Nazaro Naa Hanso

Mil Naa Sakaounga Tum Se
Tum Mere Ho Naa Sake

Mein Bhi Tumhara Naa Raha
Koi Humdam Naa Raha

Kya Bataoun Mein Kahan
Yunhi Chala jaata Hoon

Jo Mujhe Phir Se Bula Le
Woh Isharaa Naa Raha

Koi Humdam Naa Raha
Koi Sahara Naa Raha

SoOoo Jana...

Na raat gye tk apna dukhra khud ko sunana SO jana
Tum khwab mein khud se khushion ka ik shehr bsana SO jana

Din bhr ki thkawat taari ho or yaad kisi ki aa jaye
Takiye mein chupa k chehra tum na ashak bahana SO jana

Tum chashm-e-tasawur mein din bhr mere sath rahay ho
Ab subha milein gy, raat mein tum na mujh ko stana SO jana

Ye chand to khud hi tanha hy tum ko ye tasalli kya dy ga
Yun shikwa kr k na khud ko thkana so jana..!

Jab tak ke main na aauuN...

shamaa jalaaye rakhanaa jab tak ke main na aauuN
Khud ko bachaaye rakhanaa jab tak ke main na aauuN

ye vaqt-e-imtehaa.N hai sabr-o-qaraar-o-dil kaa
aaNsuu chhupaaye rakhanaa jab tak ke main na aauuN

ham tum milenge aise jaise judaa nahiin the
saaNsen bachaaye rakhanaa jab tak ke main na aauuN

MuHabbat Ka Meri MujH Say Hisab Mangta Hai...

MuHabbat Ka Meri MujH Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka MujH Say nisab Mangta Hai

Jin Logoon Ko Main Janta naHin
Un Logoon Kay MujH Say Alqaab Mangta Hai

Us Kay Qadmoon Main KHusHioon Ko DHair Ker Diya
Pagal Un CHeezon Ka Jawaz Mangta Hai

Hazar Bar KaHa Sirf Tum Say Pyar Hai
Meray Pyar Ka MujH Say Iqrar Mangta Hai

Hur Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay BHi
Apnay Hur Sawal Ka Jawab Mangta Hai

Ajeeb SHaks Hay KHusioon Ko Daman Main Lay Ker
KHusHioon Ki BHeeg Sir-E-Bazar Mangta Hai

Hum Mout Ki DeHleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai

Kab talak shama jali yaad nahi....

Kab talak shama jali yaad nahi
Sham-e-gham kaise dhali ? Yaad nahi

Iss qadar yaad hai apne the sabhi
Kiss ne kya chaal chali yaad nahi

Hum zamane main kuch aise bhatke
Ab tu unn ki bhi gali yaad nahi

Abur tha jaam tha par app na the
Woh Ghari kaise talli yaad nahi

Kat gayi umar kissi tarah Qateel
Woh buri thi kay bhali? Yaad nahi

Nahi mil raha hey yahaaN ....

Nahi mil raha hey yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey
sun aey jus'tuju dey jawaab tu ke ley aai hey ye kahaaN mujhey!

wo sabaq meiN parrh ke bhula chuka ke osool banatey heiN zindagi
mujhey mantaqi si daleel dey, ye muhawarey na suna mujhey

tujhey kya khabar meiN dil meiN dard, leeye phi raha hooN ajab ajab
teri mashq puraani hey yaar tu, kya ghaao dey ga naya mujhey

nahi kuch gila ke ye sab hey kya, bhaley kuch ajab hey ye maajra
ke merey aek jurm pe baar baar, koi dey raha hey sazaa mujehy

ye jo chaahatoN ke bazaar heiN yahaaN bik raha hey sabhi magar
yahaaN kon ley ga wafaa ki jins, bhala kya miley ga nafaa mujhey!

merey hum'nawa bhala meiN kahaN, terey waastey mujhey bhool ja
tu ney khuwahishoN ke aoraaq par, kaheeiN likh dia to mitta mujhey

yuN diye na rakh merey haath pe ke katteiN ge nahi phir raastey
kabhi rok leiN gi baarisheiN to kabhi tang karey gi hawaa mujhey

kattaa zindagi ka katthin safar, meiN muflisi meiN maraa magar
meiN gulshanoN ka makeen tha, zara khushbuweiN to laga mujhey

Suno Hum tum se kuch kehna chahte hain,

Suno Hum tum se kuch kehna chahte hain,
Is tees ko is dard ko hum sehna chahte hain

Jis ko kabhi sheesha kabhi aaina kehtey ho tum
Seenay key us muqaam mein hum rehna chahte hain

Maujon ka daar nahi hai ,sahil se nahi hai pyaar
Bas tham lo hume tum hum behna chahtey hain

Aankhon ne baat karli, nazroon ne bhedh khola
Ab hont kaampte hain kuch kehna chahte hain

Kya yaad karoge hum ko jab paas hum na honge
Tere khuwab mein khayal mein hum rehna chahte hain

Khayal mein tere aks se yeh sab to keh chuke hain
Tere saamne gar ho ijaazat kehna chahte hain

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho,,

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho,,
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho,,

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai,,
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho,,

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar,,
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaa ker Dekho,,

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka,,
Kin Andheroon Mai Bhata karta Hoon Main Aaker Dekho,,

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per,,
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho,,

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera,,
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho.

Tuesday, December 27, 2011

Dil me basai thi tasvir mita dena...

Dil me basai thi tasvir mita dena
Aankhon me basaya tha nazron me gira dena

Tum ko to wafa meri kuch raas na aai
Jati hoon tere dar se mujhko na sada dena

Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki
Tum meri wafaon par ilzam laga dena

Fir oski tamanna keya jo gair ka ho jaye
Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge....

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge
Sayon se bhi tere kabhi shikwa na karenge

Bhoole se kabhi raah me mil jaungi tujhko
Milne ko dubara kabhi wada na karenge

Poochenge hawaon se ghataon se tera haal
Milne ke waste kabhi aaya na karenge

Jis peyar ki tabir kiya karte the pahle
Us naam ko diwar par likha na karenge

Abb kahan dost milein saath nibhaaney vaaley...

Abb kahan dost milein saath nibhaaney vaaley,
Sab nay seekhay hain abb adaab zamaaney vaaley,

Dil jalao ya diye aankhon kay darvaazey par,
Waqt say pehlay tou aatey nhi aaney vaaley,

Ashq bann kay main nigaahon mein teri aaoongaa,
Ai mujhay apni nigaahon say giraaney vaaley,

Waqt badla tou uthaatey hain abb ungli mujh par,
Kall talaq haq mein merey haath utthaaney vaaley,

Waqt har zakham ka marham tou nhi bann sakta,
Dard kuchh hotay hain ta-umar rulaaney vaaley,

Zindagi ka fasana...

Khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa,
Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa,
Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein,
Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa,
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa,
Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai,
Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa,
Khud apney hee haath say uss ko kaat diya,
Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,

Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte...

Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte

Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai...

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyu Hota Hai

Chalte Chalte Kadam Ruk Jate Hai
Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai
Chehra To Nazar Nahin Ata Hai
Lekin Kisi Ka Ehsas Wahan Hota Hai

Apnoo Ki Mehfil Me Begana sa Lagta Hun
Sub Ke Hote Hue Dil Na Jane
Kisi Ko Doondh Raha Hota Hai

Koyee To Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Koi To Bataye Aisa Kyu Hota Hai

Kya Samjoon Is Dewane Pan Ko Main
Jo Her Lamha Mujhko Pagal Ker Raha Hota Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Koi To Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Aisa Kyun Hota Hai

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyun Hota Hai

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey....

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey
Pathar Ho Muqabil To Thehar Kyun Nahin Jatey

Is Shehar Ke Jugnoon Bhi Chalavay Hain Nazar Ke
Phir Log Sar-E-Shaam Hi Ghar Kyun Nahin Jatey

Tum Nay To Giraya Hai Mujhay Apni Nazar Say
Tum Meri Nighaon Say Utar Kyun Nahin Jatey

Mar Mar Ke Jiye Jatey Hain Sadkon Ke Kinarey
Marna Hi Zaroori Hai To Mar Kyun Nahin Jatey

Mohsin Ko Hi Maatoob Kia Jata Hai Aksar
Ilzaam Kabhi Us Ke Bhi Sar Kyun Nahin Jata

Aankhon Men Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Sey...

Aankhon Men Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Sey
Lab Pey Hain Kuch Sawal Sey,Dil Men Hain Kuch Malaal Sey

Tu Jo Gaya To Youn Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Sey

Itney Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
So'uun Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Sey

Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Sey

Tujh Si Hasee'n Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Duniya Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Sey

Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Keh Wo Mujhey
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Sey

Apnay Ehsaas Kay Sab Rang Utar Janay Do....

Apnay Ehsaas Kay Sab Rang Utar Janay Do
Meri Umeed Meray Khowab Bikhar Janay Do

Apnay Aangan Main Charaghon Ko Jalao Na Abhi
Meray Aangan Main Siya Raat Utar Janay Do

Bari Mushkil Say Mila Hai Mujhay Meray Ghar Ka Pata
Raasto Ab Na Uljhao Mujhay Gher Janay Do

Jin Kay Aanay Ka Bohat Shorr Phela Tha Har Soo
In He Lamhon Ko Chup Chaap Guzar Janay Do

Meri Barbadi Ka Elzam Na Aye Kahin Tum Per
Meray Halaat Ko Khuch Or Bigar Janay Do.....!

Bin Us Kay Zindagi Dard Hai Tanhaii Hai....

Bin Us Kay Zindagi Dard Hai Tanhaii Hai
Meri Aankhon Main Kyun Mout Simat Aai Hai

Mehfil Main Reh Kar Bhi Tanha Rehna
Yeh Ada Us Ki Mohabbat Nay Sekhlaii Hai

Kehtay Hain Log Ishq Ko Ebadat Yaro
Ebadat Main Phir Kyun Ruswaii Hai

Wo Na Aaye Dil Ko Behlanay Meray
Shab -e- Hijar Main Us Ki Yaad Chali Aai Hai

Mehfil Main Reh Kar Bhi Tanha Rehna
Yeh Ada Us Ke Mohabbat Nay Seekhaii Hai

Yeh Bhi Us Ke Mohabbat Ke Anayat Hai Yaro
Main Tamasha Bana Or Dunya Tamashaii Hai

Intazar Main Kese Ke Na Raat Ko Barbaad Karna
Dobtay Taroo Nay Mujhay Yeh Baat Samjhaii Hai

Us Say Taluq Hai Kuch Esa Raha Yaroo
Jab Bhi Socha Usay Aankh Bhar Aai Hai

Sunday, December 25, 2011

Log Jal Jayen Gey Suraj Ki Tamana Na Karo..

Dekh Lo Magr Khawab Ka Charcha Na Karo
Log Jal Jayen Gey Suraj Ki Tamana Na Karo

Waqt Ka Kya Hai Kisi Pal Bi Badal Sakta Hai
Ho Sakey Tum Se To Tum Mujh Par Bhrosa Na Karo
......
Ajnabi Lagny Lage Khud Tumhen Apna Hi Wajood
Apny Din Raat Ko Itna Bi Akela Na Karo.

Mom K Rishty Hain Garmi Se Pigal Jayen Ge
Dhoop K Shehar Main "Mohsin" Ye Tamasha Na Karo..

Wednesday, December 21, 2011

dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo'n main

dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo'n main
phir kabhi na simtunga you'n bikhar gaya hoo'n main

maut bas nahee'n aati rooh k nikalne se
sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hoo'n main

zindagi mai jitni bhi roshni thi uss se thii
mustaqil andhero'n mai abb utar gaya hoo'n main

baam o darr bhi uske baad ho gaye hain you'n khamosh
aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hoo'n main

uska sath jab tak tha rung rung mausam thay
bas khiza'n k mausam mai ab thhehar gaya hoo'n main

Tuesday, December 20, 2011

Main sun k uski sub batain...

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,

Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,

Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,

Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,

Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,

Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,

Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,

Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!

munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote...

munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote
besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote

jhuuTh aur sadaaqat kii jang to azal se hai
phir bhii sach pe jiine ke hausale nahii.n hote

soch ke judaa honaa phir ke mil na paaye.nge
kyo.n ke is zamaane me.n mojeze nahii.n hote

jo bhii the gile shikave duur kar ke jaanaa thaa
kam se kam bichha.Dane par dil bure nahii.n hote

chaa.Nd se kahaa ham ne tum hii raat bhar jaago
ham se us kii yaado.n me.n rat_jage nahii.n hote

Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai...

Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
sannaaTaa hii guu.Nj rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

meraa maazii mujh se bichha.D kar kyaa jaane kis haal me.n hai
merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

saharaa saharaa kab tak mai.n Dhuu.NDhuu.N ulfat kaa ek aalam
aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

ahl-e-tuufaa.N soch rahe hai.n saahil Duubaa jaataa hai
Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

jal bhi chukay parvanay ho bhi chukii rusvaai...

jal bhi chukay parvanay ho bhi chukii rusvaai
ab Khaak urraaney ko baiThey hain tamaashai

taaron ki ziyaa dil men ik aag lagati hai
aaraam sey raaton ko sotey nahin saudaai

raaton ki udaasi men Khaamosh hai dil meraa
behis hain tamannaayen niind aaii keh maut aaii

ab dil ko kisii karwaT aaraam nahin milta
ik umr ka rona hai do din kii shanasai

ik shaam woh aaye they ik raat farozaaN thi
woh shaam nahin lauTii woh raat nahin aaii

wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay...

wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay
hum tujhay bhool kar bhi daikhain gay

zakhm per sabt kar na lab apnay
zakhm ko chaara gar bhi daikhain gay

hijr ki shab say haoslay apnay
bach gaey to sehar bhi daikhain gay

raat honay do,log sonay do
chand ko dar-ba-dar bhi daikhain gay

ik dua dil say chhup kay maangi thi
us dua ka assar bhi daikhain gay

ik puraana safar to khatm howa
ik nayi rahguzar bhi daikhain gay

gin to lainay do baykafan laashein
bay sada baam-o-dar bhi daikhain gay

chairr kar dil ki rakh ko mohsin
ab ke raks-e-sharar bhi daikhain gay

Mujhay jeenay ki umeed dobara day do...

Mujhay jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara day do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan may aaj andhera hai bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara day do,

Chund lamhy tujhay dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do

Tu Hoti Toh Aisa Hota, Tu Hoti Toh Waisa Hota...


Khud Se Baatein Karta Hoon Teri, Kabhi Kehta Hoon
Tu Hoti Toh Aisa Hota, Tu Hoti Toh Waisa Hota,

Tu Hoti Toh Har Pal Hasta, Tu Hoti To Har Gum Sehta,
Tu Milti Toh Tera Didaar Karta, Tu Milti Toh Bepanah Pyaar Karta,

Khud Se Baatein Karta Hoon, Tu Milti Toh Aisa Hota,
Lagti Toh Pagli Si Thi, Uss Pagalpan Mein Hi Toh Sab Kuch Tha,

Lagti Toh Apni Si Thi, Par Woh Sirf Ek Khwaab Sa Tha,
Sochti Toh Woh Bhi Thhi Mujhe, Par Iss Duniya Se Woh Darti Thhi,

Dekh Ke Najre Churati Thhi, Usse Dar Lagta Tha Ki,
Unn Ankhon Mein Mein Khud Ko Na Dhoond Loon,

Usse Kya Pata Tha Ki Woh Najre To Chupa Sakti Hai Par,
Us Chehre Ki Hasi Ko Kaise Chupati Jo Mujhe Dekh Ke Aati Thhi.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai....

Maan Ki Mohabbat Ka Bhi Andaaz Juda Hota Hai,
Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai.

Raato Ko Jaag Jaag Kar Mera Khayal Rakhna,
Mere Saath Sona Aur Mere Saath Jagna,
Khud Bhooke Rehna Par Mera Pet Bharna,
Uski Qurbaniyon Se Har Koi Sehatyaab Hota Hai.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Ungli Pakadkar Uski Hamne Hai Chalna Seekha,
Uski Hi Boli Sunkar Humne Hai Bolna Seekha,
Tehzeeb Ka Aks Jo Mujh Me Dikhayee Deta Hai,
Wo Bhi Hai Teri Den, Khud Khuda Bhi Yeh Kehta Hai.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Khud Jaag Jaag Kar Tune Mujhe Sulaaya,
Khud Zakhm Kha Kar Chalna Mujhe Sikhaya,
Meri Shararaton Ka Bhi Tune Sitam Uthaya,
Iss Saari Qaynaat Mein Tujhse Bada Sirf Khuda Hota Hai.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Tum Hi Meri Khushi Ka Idaara Ho Meri Maan,
Waqt-E-Museebat Mein Tum Hi Sahara Ho Meri Maan,
Mere Liye Khuda Ki Ek Nishaani Ho Meri Maan,
Mere Liye To Zindagi Ki Poori Kahani Ho Meri Maan.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Maan Ke Bina To Har Saans Adhoori Hoti Hai,
Kuch Logon Ke Liye Maan Ke Bina Zindagi Bhi Poori Hoti Hai,
Waqt-E-Gham Jab Maan Ke Qareeb Aaoge,
Beshaq Har Ranj-O-Gham Se Najaat Paaoge.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Gam Bhi Kya Khoob Cha'al Chalte Hain...

Gam Bhi Kya Khoob Chal Chalte Hain,
Aate Ek Pal Ko Hain Saal Chalte Hain,
Khawab Jo Dar Kar Boye The Chattano Pe,
Suna Hai Waha Bhi Abb Kudal Chalte Hain ,

Gam Bhi Kya Khoob Chal Chalte Hain.

Aye Khuda Kuch Dinon Ki Chhutti Le,
Suna Hai Naam Tere Bhi Bawal Chalte Hain,
Pareshaniyon Ka Sabab Na Pucho Mujhse,
Nind Mein Bhi Sawal Chalte Hain,

Gam Bhi Kya Khoob Chal Chalte Hain.

Dil Ki Kashti Mein Dard Ke Ghar Hain,
Aa Dekh Lein Unka Bhi Haal Chalte Hain,
Jaldbaji Pasand Nahi Inhe Jara Bhi,
Dhire Dhire Yeh Halal Karte Hain.

Gam Bhi Kya Khoob Chal Chalte Hain.

Mili Hayat Hi Aisi Ke Haya Bhi Ro Pari...

Mili Hayat Hi Aisi Ke Haya Bhi Ro Pari,
Teri Talash Mein Zalim Saza Bhi Ro Pari,

Tujhe Toot Ke Chaha Or Itna Chaha,
Teri Wafa Ke Khatir Wafa Bhi Ro Pari,

Mera Naseeb Meri Qismat Mera Muqadar Bani Tu,
Tujhe Hi Mangte Mangte Dua Bhi Ro Pari,

Kitab-E-Dil Mein Tera Baab Jab Band Kiya,
Khatm Karte Karte Aye Wasi Kitaab Bhi Ro Pari.

Shaam ki palkon pe larazty rehna...

Shaam ki palkon pe larazty rehna.
Doob jay jo ye manzar to barasty rehna.

Uski adat wohi har baat adhoori karna,
Aur phir baat ka mafhoom badalty rehna.

Aag se seekh liya hai ye qareena hum ne,
Bujh bhi jana to bohat dair sulagtay rehna.

Jaanay kis umr mein jaaygi ye aadat uski,
Roothna khud se to auron se ulajhty rehna

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna...

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!!

Mohabbat ki asiri say rehai mangtay rehna

Mohabbat ki asiri say rehai mangtay rehna
Bohat aasan nahi hota judai mangtay rehna

Zara sa ishq kar lena,zara si aankh bhar lena
Awiz is kay magar sari khudai mangtay rehna

Kabhi mehroom honton par dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat min us ki narsai mangtay rehna

Wafaon kay tasalsul se mohabbat rooth jati hai
Kahani main zara si bewafai mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kh ibadat ho gai
dil ki Sukooot-e-sham-e-gham se humnumai mangtay rehna

Kabhi bachay ka nannhay hath par titli k par rakhna
Kabhi phir us kay rangon se rehai mangtay rehna

Mein Lafzon Ko Nahi Ehsaas Ko Tehreer Karta Hoon,

Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chand Lafzon Ko Likhta Hoon,
Jo Baatein Dil Pe Lagti Hain Unhi Baaton Ko Likhta Hoon,

Mein Shayar Hoon Meri Veeraniyan Jab Hadd Se Barhti Hain,
Ussi Lamhe Dhunwan Uthta Hai Aur Aahon Ko Likhta Hoon,

Mein Lafzon Ko Nahi Ehsaas Ko Tehreer Karta Hoon,
Na Ghazlon Ko Na Nazmon Ko Faqat Jazbon Ko Likhta Hoon,

Kabhi Tanha Jo Hota Hoon Takhayyul Mein Bhi Rehta Hoon,
Purane Dard Ke Lamhe Nayi Sochon Ko Likhta Hoon,

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Shab Bhar Jaagta Hoon Mein,
Jo Dilse Munsalik Rehti Hain Unn Yaadon Ko Likhta Hoon,

Lahoo Dilse Nikalta Hai Kaleja Moonh Ko Aata Hai,
Kisi Ko Kya Khabar Jab Bhi Kabhi Ghazlon Ko Likhta Hoon

Monday, December 19, 2011

Aj Kch Waqt K Liye Pas Meray Kash Tum A Jao

Aj Kch Waqt K Liye Pas Meray Kash Tum A Jao
Bht Tanha Hon Main Aj Kash Tum A Jao

Kabi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Mainay
Par AJ Bikhar Gya Hon Main Kash Tum A Jao

Kaafi Din Say Ji Raha Hon Bin Teray
Aj NAi Guzar Rha Ek Pal Kash Tum A Jao

Waqt Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gai Ha
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum A Jao

Phir Us K Jaatey Hi yEh DiL Sunsaan Ho K Reh Gaya

Phir Us K Jaatey Hi yEh DiL Sunsaan Ho K Reh Gaya
Acha BhaLa Ek Shehar Tha, Veeran Ho K Reh Gaya

Har Naqsh, BaatiL Ho Gaya Ab K Dayar-E-HiJJer mEn!
Ek Zakhm Guzrey Waqt Ka Mehmaan Ho K Reh Gaya

Kuch Din MuJhay, Aawaz Di Logon nEy Us k Naam sEy!
Phir Shehar Bhar mEn Woh Meri Pehchaan Ho K Reh Gaya

Ek Khuwab Ho K Reh Gayein GuLshan sEy Apni Nisbatein!
DiL Raiza-Raiza, Kaanch Ka GuLdaan Ho K Reh Gaya..

Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala, yeh bura hua

Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala, yeh bura hua
meri justaju, meri aarzoo, hui raaigaN, yeh bura hua

meri zest maut se kam nahi, mera gham bhi ab mera gham nahi
teri dastaaN meiN sama gai meri dastaaN, yeh bura hua

mujhe apne naghmoN se hai gila, mera raaz raaz na reh saka
woh jale chiraaghoN ki tarha, woh utha dhuwaan, yeh bura hua

tere intezaar meiN baith kar, mujhe zindagi to mili magar
mera saath choD ke chal diya, mera karwaaaN, yeh bura hua

mujhe yaad thi yeh na thi khabar, mere gham meiN hai bada asar
meri ek aah se jal gaye, kai aashiyaaN, yeh bura hua.

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao...

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao
Akele saath Dena Tum Jahan Be-Zaar Ho Jao,

Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ki,
Bahut Aasan Ho, Thode Bahut Dushwar Ho Jao,

Mulakaton Mein Wafa Isliye Hona Zaroori Hai,
Ke Tum Ek Din Judayi Ke Liye Taiyar Ho Jao,

Main Kaisi Chil-Chilati Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon,
Bas Ab Aisa Karo, Tum Saya-E-Deewar Ho Jao,

Tumhare Paas Dene Ke Liye Jhuthi Tasalli Ho,
Na Aaye Aisa Din, Tum Is Kadar Nadar Ho Jao,

Tumhe Malum Ho Jayega Kaise Ranj Sehte Hai,
Meri Itni Dua Hai Kash Tum Fankar Ho Jao...

Guzar rahay hain jo mujh par azaab us kay hain

guzar rahay hain jo mujh par azaab us kay hain
keh meri chashm e tamana men khawab us kay hain

mein zakhm zakhm hoon mera naseeb hain kaantay
woh rang rang hai saaray gulaab us kay hain

kitaab maeri,qalam mera,soch bhi meri
magar jo likhay mein nay woh baab us kay hain

nhi hai meray muqaddar ka aik bhi taara
yeh kehakashan yeh maah o aaftab us kay hain

visaal o hijr ka mausom usi ka mausom hai
sawaal meray hain shayad jawaab us kay hain

woh meri zaat ka aik mustanid hawala hai
kitaab e ishq kay saaray nisaab us kay hain

mein hairaton kay samandar men gharq hoon ejaz
tamaam aks sar e satha e aab us kay hain

Khayal o khawab hua barg o baar ka mausam

khayal o khawab hua barg o baar ka mausam
guzar gaya teri soorat bahaar ka mausom

rafaqaton kay naey khawab khush numa hain magar
guzar chuka hai teray aitbaar ka mausom

kaee dinon say meray neem wa dareechon men
thehar gaya hai teray intezaar ka mausom

Wajood apna, Na Rooh apni...

Wajood apna, Na Rooh apni
Bas ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil-lagi mein sakoon paaya,
Na aashqi mein qaraar paaya,

Na wasl lamhey hi raas aaye,
Na firaaq hi hum guzaar paaye,

Ajab ye chahat k marhaley hain,
Na jeet paaye, Na haar paaye,

Na hi yadoon ki dhunnd utri,
Na dil k daaman ko jhaar paaye,

Na aankhein khawabon ko dhoond paa'een,
Na khawab aankhon ko dhoond paaye,

Bas ik tamasha ye zeest thehri,
Wajood apna, Na rooh apni...!

Ek Raabta Musalsal Hai, Ek Faasla Musalsal Hai

Is Kainaat.e.Muhabbat Men,Hum Misl e Shams o Qamar kay Hain
Ek Raabta Musalsal Hai, Ek Faasla Musalsal Hai

Main Khud Ko Baich Duun Phir Bhi Tujh Ko Paa Nahi Saktaa
Main Aam Sa Hamesha Huun, Tu Khaas Sa Musalsal Hai

Waqt-e-WisaaL Ki Bhi Ek Aarzu Adhoori Hai
Ek Aas Si Hamesha Hai, Ek Khawaab Sa Musalsal Hai

Khata-Kaaron Ki Qismat Mein Jannat Hua Nahi Karti
Main Khata-Kaar Azal Sey Huun Tu Parsaa Musalsal Hai

Ik Pagli....

ik pagli mera naam jo ley, sharmaye b, ghabraye bhi
galiyun galiyun mujh se milney aye b, ghabraye bhi

raat gaye ghar janey wali gumsum larki raahon main
apni uljhi zulfoon ko suljhaye b, ghabraye bhi

kon bichar kar phir lautey ga, kiun awaara phirtey ho?
raaton ko ik chaand mujhe samjhaye b, ghabraye bhi

aney wali rut ka kitna khauf hai uski aankhon main
jaaney wala door se haat hilaye b, ghabraye bhi

kia janey woh kon hai Mohsin jis ki khaatir Raaton ko
taiz hawa pani par naqsh banaye b, ghabraye bhi

Ankhain...

tamam shab yunhi dekhaingi soo e dar ankhain
tujhe ganva k na soyen gi umr bhar ankhain

tulo e subah se pehley hi bujh na jayen kahin !
yeh dasht e shab mein sitaron ki humsafar ankhain

sitam yeh kam to nahi dil giraftagi k liye !
main shehar bhar mein akaila, idher udher ankhain

shumar uski sakhafat ka kia karain k vo shakhs
chiraag baant'ta phirta hai cheen kar ankhain

voh paas tha to zamaney ko dekhti hi na thein
bicher geya to hoyeen phir se darbadar ankhain

abi kahan tuje pehchan'ney ki zid kijey
abi to khud se b thehri hain beykhaber ankhain

main apney ashak bacha luunga kis tarha Mohsin ?
zamana sang bakaf hai to sheeshagar ankhain

Saans laina hua muhaal mujhay...

saans laina hua muhaal mujhay
is muhabbat say ab nikaal mujhay

ab mein teri he zimaydaari hoon
kho na jaaun kahin sanbhaal mujhay

ab behalta nhi mein lafzon say
ab na daina koi misaal mujhay

sab kay baaray men sochta hoon magar
khud ka rehta nhi khayaal mujhay

jaatay jaatay woh kis liay palta
ab sataaey ga yeh sawaal mujhay

jo teray bin guzaarna thehray
aik saddi sa hai aik saal mujhay

saaf keh day jo teray dil men hai
in bahaanon say ab na taal mujhay

yaad rakha na bhool paaya hoon
hai isi baat ka malaal mujhay

Aj Phir Sey Teray Dayaar Main Hoon

Aj Phir Sey Teray Dayaar Main Hoon
Yani Phir Teray Ikhtiyaar Main Hoon

Us Kahani Ka Yeh Huwa Anjaam
Aaj Main Dasht-e-Be-Kinaar Main Hoon

Koi Rasta Dekhayi Deta Nahi
Dhund Kaisi Hai Kis Ghubaar Main Hoon

Aaj Kal Kis Pay Hai Nazar-e-Karam
Main To Waisay Bhi Kis Shumaar Main Hoon

Hosh Kaisay Rahay Ga Dil Ko Tera
Main Teray Dard Kay Khumaar Main Hoon

Ek Dunyaa Hai Meray Dar Pay MONIS
Aur Main Teray Intizaar Main Hoon

Goya tumhaari yaad hi mera ilaaj hai !

Tum or feraib khaao bayaan-e-raqeeb sey !
Tum sey to kam gila hai, zyaada naseeb sey !

Goya tumhaari yaad hi mera ilaaj hai !
Hota hai pehro(n) zikar tumhara tabeeb sey !

Barbaad dil ka aakhri saramaya thi ummeed !
Wo bhi to tum ney cheen liya mujh Ghareeb sey !

Dhundla chali nigaah dam-e-waapasi hai ab !
Aa paas aa ! keh dekh luun tujh ko qareeb sey !

Faaslay simat gaye Dua sey kaam chal gaya

Faaslay simat gaye Dua sey kaam chal gaya
Ashk phir nikal parray, phir azab tal gaya

Kisey yakeen aaye ga, kis sey jaa k yeh kahoon
Ik bujhey chiraagh sey mera haath jal gaya

Abhi to meri aankh mein, neend bhi hai khawab bhi
Sochta hun phir kabhi tu agar Badal gaya

"Ik udas raah sey, Nadi k zard pairr sey
Tera poochta raha, or chand Dhal gaya"

Tujhey bhi aik shakhs k faraib raas aa gaye
kisi k jhoot moot sey mein bhi kuch behal gaya

Saturday, December 17, 2011

Roye ga Mujhe Dekh Kar Ek Shakhs...

Ek Chadar KO Raah-e-Mehboob Mein Bicha Dena,
Main Mar Jaon Toh Usay Mera Kafan Bana Dena,

Thori Se Khak Unkay Qadmon Ki Laga Kar,
Meri Aankhon Mein Surmaa Sa Laga Dena,

Roye Ga Mujhe Dekh Kar Ek Shakhs,
Is Liye Dair na Lagana Mujhe Jaldi Dafna Dena,,,

Agar Buhat roye Meri Khabar Par Woh Aakar,
Toh Nikalna Mujhe Wahan Se Aur Jala Dena....!!!

Mera Kafan.... In Shaa Allah

Jane Kiyon Udas Or Tanha Hai Mera Kafan
Shayad Mere Iintzaar Main Hai Mera Kafan
Tujhse Jiyada Wafa Nibha Raha Hai Mujh Se,
Mere Saath Chita Main Jal Raha Hai Mera Kafan
Khub Lag Raha Hai Safaidi Main Surakh Rang,
Dekh Teri Hina Se Jagmaga Raha Hai Mera Kafan
Nazar Na Lag Jaye Meri Laash Ko Kisi Bewafa Ki,
Tujhse Mera Chhehra Chuppa Raha Hai Mera Kafan
Har Nishani Mere Wajud Ki Saath Jal Jaiyegi Aaj,
Mera Aakhri Nisha Bhee Mitta Raha Hai Mera Kafan
Mar Kar Bhe Mere Labon Pe Tera Naam Na Aiye,
Dhak Ke Mere Labo Ko Wafa Nibha Raha Hai Mera Kafan
Sameet Ke Mujh Ko Apni Baahon Main Teri Tarha,
Tera Har Ehsaas Mujhe Dila Raha Hai Mera Kafan
Shayad Ab Kabhi Tujh Se Mulakat Ho Ke Na Ho,
Tujhse Bhut Dur Mujhe Le Ja Raha Hai Mera Kafan
Zindagi Jeene Ke Qabil He Nahi Rahi Ab Veer
Chal Aa Le Chalain Tujhe Bula Raha Hai Tera Kafan

Saturday, December 10, 2011

Kab tak....???

dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak
aatish e hijr jalayegi miri jaan kab tak

tangi e zeest ka ho jaye use kaash ahsaas
ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak

aaeenah bandi e dil kaGHzi gul se kijaaye
aik seHraa meN tamanna e gulistaaN kab tak

aoj per aaj he tuGHyani e beHr e jazbaat
aik kooze meN daba rakkhenge toofaaN kab tak

her ghaRi dil pay diye jaate heN dastak aalaam
bin bulaye chale aayenge yeh mehmaaN kab tak

ab woh KHamosh he , tha shab meN shareek e maatam
saath deta mira aaKHir dil e naalaaN kab tak

daafa e naar e shikam Arq e badan he jiska
pet per bandhega patthar wahi dehqaaN kab tak

le liya qatl ka ilzaam hameeN ne sar per
husn ko dekhte ab aur paraishaaN kab tak

jo nah milti hameN GHurbat meN husaini manzil
koo ba koo phirte younhi be sar o saamaaN kab tak

Ye Kon Doob Gaya Aur Ubher Gaya Mujh Mein

Ye Kon Doob Gaya Aur Ubher Gaya Mujh Mein
Ye Kon Saaye Ki Soorat Guzer Gaya Mujh Mein

Ye Kis Ke Sog Mein Shoreeda Haal Phirta Hoon
Ye Kon Shakhs Tha Aisa Ke Mar Gaya Mujh Mein

Ajab Hawa-E-Baharan Ne Chaara Saazi Ki
Woh Zakham Jis Ko Na Bharna Tha Bhar Gaya Mujh Mein

Woh Aadmi Ke Jo Pathar Tha, Jee Raha Hai Abhi
Woh Jo Aaina Tha Bikher Gaya Mujh Mein

Wisal Kya Ke Woh Jab Bhi Qareeb Say Guzra
Woh Yoon Laga Ke Koi Raqs Kar Gaya Mujh Mein

Woh Saath Tha To Ajab Dhoop Chaon Rehti Thi
Bass Abb To Aik Hi Mosam Thehar Gaya Mujh Mein ....!!

Abke ye Ehteyaat bhi kar jaanaa chaahiye !!!

Abke ye Ehteyaat bhi kar jaanaa chaahiye !!!
Aandhi se Qabl khud hi bikhar jaanaa chaahiye

Haan jab mujhe jamood ki tohmat hi mil gayi
To dil se bhi khayaal e safar jaanaa chaahiye

Sab raaste hisaar ke jangal me Qaid hain !!!!
Kiya faisla karen k kidhar jaanaa chaahiiye !

Rahzan to sab kamaayaa jua maal le gaye
Ab sirf jaan leke na ghar jaanaa chaahiye !

Karte hain be sabab hi khataayen ma’aaf jo
Aise “khata ma’aaf” se dar jaanaa chaahiye

Kuchh faisle to honge mere ikhtiyaar ke !!!!
Aankhon se ye Ghelaaf utar jaanaa chahiye

Jab mere paas us ke liye Chatt talak nahi !
Ae uski aarzoo, tujhe mar jaanaa chaahiye

Iqraar Gaye, Inkaar Gaye, Hum Haar Gaye...

Iqraar Gaye, Inkaar Gaye, Hum Haar Gaye
Aankhon Say Sab Aasaar Gaye, Hum Haar Gaye

Kuch Yaadein Uss Ki Beech Samander Doob Gayeen
Kuch Sapney Reh Uss Paar Gaye, Hum Haar Gaye

Ikk Umr Rahey Hain Jeet Say Be-perwah Lekin
Jab Jeetna Chaaha, Haar Gaye Hum Haar Gaye

Yoon Uljhey Duniya Ke Dukh Mein Be-sudh Ho Ker
Sab Jhootey Sachey Pyaar Gaye, Hum Haar Gaye

Pehley To Preet Mein Apney Aap Say Door Huwey
Phir Yaar Gaye, Dildaar Gaye, Hum Haar Gaye !

Bikharate TuuTate lamhon ko apanaa ham_safar jaanaa

Bikharate TuuTate lamhon ko apanaa ham_safar jaanaa
thaa is raah mein aaKhir hamein Khud bhii bikhar jaanaa

havaa ke dosh par baadal ke TukaDe kii tarah ham hain
kisii jhonke se puuchheinge ki hai ham ko kidhar jaanaa

mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaaN is shahar mein raushanii dekho Thahar jaanaa

pas-e-zulmat koii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa

dayaar-e-Khaamashii se koii rah-rah kar bulaataa hai
hamein "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa

mery qissay sar-e-bazar uchaaly uss nay....(.)

jis ka her aib zamany se chupaya men nay,
mery qissay sar-e-bazar uchaaly uss nay.

uss pe khul jati merey shokh ki shiddat sari,
dekhy hoty jo merey paon ke chaaly uss nay.

meri dum torti khwahish ka khayal aa na suka,
apnay armaan hamesha hi nikaaly uss nay.

jub ussy meri mohabat per bharosa hi na tha,
kiyon diye meri wafaaon ke hawaaly uss nay

Hamara Dil Dukhana Chahiye Tha....

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha Hamara Dil Dukhana Chahiye Tha
Aana Na Aana Meri Marzi Hai Tumko To Bulana Chahiye Tha

Hamari Khwahish Ek Ghar Ki Thi Use Sara Zamaana Chahiye Tha
Meri Aankhe Kaha Nam Hui Thi Samundar Ko Bahana Chahiye Tha

Jaha Par Panhuchna Main Chahta Hoon Waha Pe Panhuch Jana Chahiye Tha
Hamara Zakhm Purana Bahut Hai Chargar Bhi Purana Chahiye Tha

Mujhse Pahle Wo Kisi Aur Ki Thi Magar Kuch Shayrana Chahiye Tha
Chalo Mana Ye Choti Baat Hai Par Tumhe Sab Kuch Batana Chahiye Tha

Tera Bhi Shaher Me Koi Nahi Tha Mujhe Bhi Ek Thikana Chahiye Tha
Ke Kis Ko Kis Tarah Se Bhoolte Hain Tumhe Mujhko Sikhana Chahiye Tha

Aisa Lagta Hai Lahoo Mein Humko Kalam Ko Bhi Dubana Chahiye Tha
Ab Mere Saath Rah Ke Tanz Na Kar Tujhe Jana Tha Jana Chahiye Tha

Kya Bas Maine Hi Ki Hai Bewafaai Jo Bhi Sach Hai Batana Chahiye Tha
Meri Barbadi Pe Wo Chahta Hai Mujhe Bhi Muskurana Chahiye Tha

Bas Ek Tu Hi Mere Saath Mein Hai Tujhe Bhi Rooth Jana Chahiye Tha
Humare Paas Jo Ye Fan Hai Miya Hume Is Se Kamana Chahiye Tha

Ab Ye Taaj Kis Kaam Ka Hai Hume Sar Ko Bachana Chahiye Tha
Usi Ko Yaad Rakha Umar Bhar Ke Jisko Bhool Jana Chahiye Tha

Mujhse Baat Bhi Karni Thi Usko Gale Se Bhi Lagana Chahiye Tha
Usne Pyaar Se Bulaya Tha Hume Mar Ke Bhi Aana Chahiye Tha

Tumhe ‘Satlaj’ Use Pane Ke Khatir Kabhi Khud Ko Gawana Chahiye Tha!!

Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha...

TuMhein Jafa Se Youn Na Baaz Aana Chahiye Tha,
Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha,

Taveel Raat Ke Pehloo Mein Kab Se Soye Hai,
Naveed-E-Subah Tujhe Jaag Jaana Chahiye Tha,

Bujhe Chiragon Mein Kitne Hai Jo Jale Hi Nahi,
Savaad-E-WaQt Inhe JagMagana Chahiye Tha,

Ajab Na Tha Ke Qafas Saath Le Ke Ud Jaate,
Tadapna Chahiye Tha Pharpharana Chahiye Tha,

Ye Meri Haar Ke Karya-E-Jaan Se Haara Magar,
Bichhadne wale Tujhe Yaad Aana Chahiye Tha,

TaMaM UMar Ki Aasudgi-E-Visal Ke Baad,
FiraaQ Aakhri Dhoka Tha Khana Chahiye Tha...

Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga...

Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga,
Meri Halat Pe Aapka Muskurana Acha Laga,
Me To Talib Tha Aap k Pyar Ka,
Aapka Nafrat Se Nigahen Churana Acha Laga,
Laga K Aag Mere Aashyane Ko,
Phir Aapka Khushian Manana Acha Laga,
Dil Me Thi Hasrat Aap K Deedar Ki,
Saamne Aakar Chehra Chupana Acha Laga,
Dil K Mere Darwaze Pe Di Dastak,
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsana Acha Laga,
Bana Kar Mujhko Apna Dewana Phir,
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagana Acha Laga . . .

kuchh laug abhi aag lagana nahee'n bhuley

Tum aankho'n ki barsat bachaye huwe rakhna
kuchh laug abhi aag lagana nahee'n bhuley

ye baat alag haath qalam ho gaye apne
ham aapki tasveer banana nahee'n bhuley

"""ik umr hui mai tau hansi bhool chuka hoo'n
tum abb bhi merey dill ko dukhana nahee'n bhuley"""

Thursday, December 8, 2011

Mere Baad...

Husn ghumzay ki kashakash se chuta, mere bad,
Baaray, aram se hen ahl e jafa, mere bad,

Mansab e shaiftagi k koi qabil na raha,
Hui mazouli e andaz o ada, mere bad,

Shama bujhti he to us me se dhuwan uthta he,
Shula e ishq sea posh hua, mere bad,

KhouN he dil khak me ahwal e tabaN per, yani,
Un k nakhun hue mohtaj e hina, mere bad,

Dar khour e arz nai johar e bedad ko ja,
Nigeh naz he surmay se khafa, mere bad,

He jaouN ahl e janouN k liye aaghosh e wida,
Chak hota he garaibaN se juda, mere bad,

Kon hota he hareef e may e mard afgan e ishq,
He mukarar lab saqi pe silah, mere bad,

Ghum se marta hun k itna nai dunia me koi,
K kare taziyat e mehr o wafa mere bad,

Aye he bekasi e ishq pe rona ghalib,
Kis k gar jaye ga sailab e bala mere bad.

Dil hi jb dard ho to kya kijiye,

Dard ho dil me to dawa kijiye,
Dil hi jb dard ho to kya kijiye,

Hum ko faryad krni ati he,
Ap suntay nahiN to kya kijiye,

Ranj uthane se b khushi ho gi,
Pehle dil dard aashna kijiye,

Mot aati nahiN kaheeN GHALIB,
Kb tak Afsos zeest ka kijiye.

MIRZA GHALIB

Ab to yadon se teri dil yeh behalta kam hai...

ab to yadon se teri dil yeh behalta kam hai...
zaiwer e ghum se mera jazba sawarta kam hai...
bhoulay jata hun tere chehray ki rangat ab to...
ab to shairoun me meri jan tu jhachta kam hai...

muj se pooray hi nahin hotay taqazay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...

ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...
jaisay souraj ko kabi ruswa sitara ker day...
jaisay sahil e sumandar ki tanabain tootain...
jaisay bhoulay se koi bat dobara ker day...
jaisay soukhay hue paton se kabi bu guzray...
jaisay lab bandhay hue payasa lab-e-ju guzray...

khud hi jaltay hen adhouray se fasanay mere....
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...

yeh zaroori to nahin hai k teri ankhooN me...
jo b kajal ho meri shab ka muqadar thehray...
tere anchal ki hawaon se chalay sans meri...
tere mathay pe mere nam ka jhoumar thehray...
ab tera hath nahiN hai to mere zakhmuN ki...
kerne lagtay hen maseehai yeh saye mere...

phir b qaim hen mere dil me yeh jazbay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...

Meesam Haider

Hai yehi dua...

Hai yehi dua, aatish'e ishq mein
tu bhi meri tarah jala karey

Naa naseeb ho tujhey bethna,
teray dil mein dard utha karey

Teray saamnay tera gher jalay,
tera buss chalay naa bujhaa sakey

Teray dil say niklay yehi dua,
ke naa gher kissi ka jala karey!

Aisa toota hai tamanaon ka pindar k bus...

Aisa toota hai tamanaon ka pindar k bus...
dill nay jheely hain mohabat mein wo aazar k bus...

ik jhonkay mein zamana meray hathoon say gaya...
is qadar taiz hoe waqt ki raftar k bus...

tu kabi mujay rakh k daikh bazar k beech....
is tarha toot k aen gay khridar k bus...

kal b sadiyon k musafit say parray thay donno...
darmyan aaj b parti hai wo deewar k bus...

ye tu ik zid hai mein shikayat na karon...
warna shikway tu hain itnay meray yar k bus...

chragh-e-subah

Kathan andheron ki rah-guzar pe chragh-e-subah jala jala ke.
Qasm se aankhain bhi thak gai hain tumhare aansu chupa chupa ke.

Kya khabr thi ke ek chehre se kitne chehre kasheed honge.
Main thak gaya hoon tumhare chehron ko aaine mein saja saja ke.

Hum itne saada mizaj kab thay mgar sarabon ki rah-guzar pe.
Faraib deta raha zamana tumhari surat dikha dikha ke.

Ajab tanasub se zehn-o-dil mein khyal taqsem ho rahe hain.
Mjhe mohabt si ho gai he tumhain mohabt sikha sikha ke.

Raqeeb Se....by Faiz

Aa ke wabasta hae us husn ki yaadein tujh se..
Jis ne is dil ko pari-khana bana rakha tha...
Jis ki ulfat mein bhula rakhi thi duniya hum ne...
Dehar ko dehar ka afsana bana rakha tha...

Aashna hae tere qadmon se wo rahein jin par...
Uski madhosh jawani ne inayat ki hae...
Kaarvaan quzre haen jin se usee ra'naaee ke...
Jis ki in aankhon ne be-sood ibadat ki hae...

Tujhse kheli hae wo mehboob hawayn jin mein...
Uske malboos ki afsurda mahek baqi hae...
Tujh pe barsa hae uss baam se mehtaab ka noor...
Jis mein beeti huwee raaton ki kasak baqi hae...

Tune dekhi hae wo peshani ,wo rukhsaar wo hont...
Zindagi jis ke tasavvur mei luuta di humne...?
Tujh pe uthee haen wo khoyee huwi saahir aankhein...
Tujhko maloom hae kyun umr gan'wa di hum ne...

Hum pe mushtarka haen ehsaan gham-e-ulfat ke...
Itne ehsaan ke ginwaun to ginwa na sakun...
Humne is ishq mei kya khoya hae kya seekha hae...
Juz tere, aur ko samjhaun toh samjha na sakuun...

Tuesday, December 6, 2011

Qissa abhi hijab say agay nahi berha

Qissa abhi hijab say agay nahi berha
Main...aap ,wOh,Janab say agay nahi berha

Muddat huwi hay kitab e muhabat shoru kiye
Lakin main pehlay baab say agay nahi berha

Lambi musafatain hain magar
Paon abhi rkab say agay nahi berha

Tool e kalam kay liye main nay kia sawal
WOH MUKHTASIR JAWAB SAY AAGAY NAHI BARHA

Rukhsaar ka pata nahi, aankhain tu khoob hain
Deedar abhi naqab say agay nahi berha

Woh lazzat e gunnah say mehroom he raha
Jo khawahish e sawab say agay nahi berha

Sunday, December 4, 2011

"Kiun Rakhoon Main Apne Qalm Main Siyahi"

"Kiun Rakhoon Main Apne Qalm Main Siyahi"
"Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi"

"Na_Jane Kiyun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par"
"Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi"

"Kashish To Bohat Thi Mere Piyaar Main"
"Magar Kya Karoon woh Pathar Dil Pighalta Hi Nahi"

"Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga"
"Par Suna Hai Wo Maut Se Pehle Kisi Se Milta Nahi.

Jab bhi qareeb ho k chale zindagi se hum...

Jab bhi qareeb ho k chale zindagi se hum
khud apne aaine ko lage ajnabi se hum

ankhon ko de k roshni gul ker diye chiragh
tang aa chuke hain waqt ki is dil lagi se hum

ache bure k farq main basti ujaar di
majboor ho k milne lage her kisi se hum

ehsas ye bhi kam nahi jeene k waste
her dard jhail rahe hain tumhari khushi se hum

kuch door ja k raste sab aik se lage
milne gaye kisi se, mil aaye kisi se hum...