Thursday, December 8, 2011

Ab to yadon se teri dil yeh behalta kam hai...

ab to yadon se teri dil yeh behalta kam hai...
zaiwer e ghum se mera jazba sawarta kam hai...
bhoulay jata hun tere chehray ki rangat ab to...
ab to shairoun me meri jan tu jhachta kam hai...

muj se pooray hi nahin hotay taqazay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...

ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...
jaisay souraj ko kabi ruswa sitara ker day...
jaisay sahil e sumandar ki tanabain tootain...
jaisay bhoulay se koi bat dobara ker day...
jaisay soukhay hue paton se kabi bu guzray...
jaisay lab bandhay hue payasa lab-e-ju guzray...

khud hi jaltay hen adhouray se fasanay mere....
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...

yeh zaroori to nahin hai k teri ankhooN me...
jo b kajal ho meri shab ka muqadar thehray...
tere anchal ki hawaon se chalay sans meri...
tere mathay pe mere nam ka jhoumar thehray...
ab tera hath nahiN hai to mere zakhmuN ki...
kerne lagtay hen maseehai yeh saye mere...

phir b qaim hen mere dil me yeh jazbay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se yeh rishtay mere...

Meesam Haider