Bikharate TuuTate lamhon ko apanaa ham_safar jaanaa
thaa is raah mein aaKhir hamein Khud bhii bikhar jaanaa
havaa ke dosh par baadal ke TukaDe kii tarah ham hain
kisii jhonke se puuchheinge ki hai ham ko kidhar jaanaa
mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaaN is shahar mein raushanii dekho Thahar jaanaa
pas-e-zulmat koii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa
dayaar-e-Khaamashii se koii rah-rah kar bulaataa hai
hamein "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa