Tuesday, December 20, 2011

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai....

Maan Ki Mohabbat Ka Bhi Andaaz Juda Hota Hai,
Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai.

Raato Ko Jaag Jaag Kar Mera Khayal Rakhna,
Mere Saath Sona Aur Mere Saath Jagna,
Khud Bhooke Rehna Par Mera Pet Bharna,
Uski Qurbaniyon Se Har Koi Sehatyaab Hota Hai.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Ungli Pakadkar Uski Hamne Hai Chalna Seekha,
Uski Hi Boli Sunkar Humne Hai Bolna Seekha,
Tehzeeb Ka Aks Jo Mujh Me Dikhayee Deta Hai,
Wo Bhi Hai Teri Den, Khud Khuda Bhi Yeh Kehta Hai.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Khud Jaag Jaag Kar Tune Mujhe Sulaaya,
Khud Zakhm Kha Kar Chalna Mujhe Sikhaya,
Meri Shararaton Ka Bhi Tune Sitam Uthaya,
Iss Saari Qaynaat Mein Tujhse Bada Sirf Khuda Hota Hai.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Tum Hi Meri Khushi Ka Idaara Ho Meri Maan,
Waqt-E-Museebat Mein Tum Hi Sahara Ho Meri Maan,
Mere Liye Khuda Ki Ek Nishaani Ho Meri Maan,
Mere Liye To Zindagi Ki Poori Kahani Ho Meri Maan.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…

Maan Ke Bina To Har Saans Adhoori Hoti Hai,
Kuch Logon Ke Liye Maan Ke Bina Zindagi Bhi Poori Hoti Hai,
Waqt-E-Gham Jab Maan Ke Qareeb Aaoge,
Beshaq Har Ranj-O-Gham Se Najaat Paaoge.

Uski Har Daant Mein Bhi Pyaar Mila Hota Hai…