tamam shab yunhi dekhaingi soo e dar ankhain
tujhe ganva k na soyen gi umr bhar ankhain
tulo e subah se pehley hi bujh na jayen kahin !
yeh dasht e shab mein sitaron ki humsafar ankhain
sitam yeh kam to nahi dil giraftagi k liye !
main shehar bhar mein akaila, idher udher ankhain
shumar uski sakhafat ka kia karain k vo shakhs
chiraag baant'ta phirta hai cheen kar ankhain
voh paas tha to zamaney ko dekhti hi na thein
bicher geya to hoyeen phir se darbadar ankhain
abi kahan tuje pehchan'ney ki zid kijey
abi to khud se b thehri hain beykhaber ankhain
main apney ashak bacha luunga kis tarha Mohsin ?
zamana sang bakaf hai to sheeshagar ankhain