Kathan andheron ki rah-guzar pe chragh-e-subah jala jala ke.
Qasm se aankhain bhi thak gai hain tumhare aansu chupa chupa ke.
Kya khabr thi ke ek chehre se kitne chehre kasheed honge.
Main thak gaya hoon tumhare chehron ko aaine mein saja saja ke.
Hum itne saada mizaj kab thay mgar sarabon ki rah-guzar pe.
Faraib deta raha zamana tumhari surat dikha dikha ke.
Ajab tanasub se zehn-o-dil mein khyal taqsem ho rahe hain.
Mjhe mohabt si ho gai he tumhain mohabt sikha sikha ke.