Monday, December 19, 2011

Guzar rahay hain jo mujh par azaab us kay hain

guzar rahay hain jo mujh par azaab us kay hain
keh meri chashm e tamana men khawab us kay hain

mein zakhm zakhm hoon mera naseeb hain kaantay
woh rang rang hai saaray gulaab us kay hain

kitaab maeri,qalam mera,soch bhi meri
magar jo likhay mein nay woh baab us kay hain

nhi hai meray muqaddar ka aik bhi taara
yeh kehakashan yeh maah o aaftab us kay hain

visaal o hijr ka mausom usi ka mausom hai
sawaal meray hain shayad jawaab us kay hain

woh meri zaat ka aik mustanid hawala hai
kitaab e ishq kay saaray nisaab us kay hain

mein hairaton kay samandar men gharq hoon ejaz
tamaam aks sar e satha e aab us kay hain