PhooloN ki tehniyoN pe nasheman banaaiye
Bijlee gire to jashn-e-charaaghaaN manaaiye
KaliyoN ke ang ang me meetha sa dard hai
beemaar nikahatoN ko zaraa gud-gudaaiye
Kab se sulag rahi hai javaani ki garm raat
ZulfeN bikher kar mere pehloo men aaiye
Behkee hui siyah ghataaoN ke saath saath
Ji chahataa hai shaam-e-abad tak to jaaiye
Sun kar jise hawas me thandak si aa base
Aisi koee udaas kahaani sunaaiye
Raste pe har qadam pe Kharabat haiN "Adam"
Ye haal ho to kis tarah daaman bachaaiye
Abdul Hameed Adam