Thursday, November 15, 2012

Wafa ki aarzoo krna Safar ki justuju krna




Wafa ki aarzoo krna
Safar ki justuju krna
Jo tum mayoos ho jao
Tou mujh se guftugu krna
Ye aksar ho bhi jata hai
K koi kho bhi jata hai
Agr tum hosla rkho
Wafa ka silsila rkho
Jo tum ko apna kehta ho
Tou uss se rabta rkho
Mai daway se kahti hou
Kabhi nakaam na hoge

Monday, September 24, 2012

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao...

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao
Bohat Tanha Hoon Mai Aaj Kaash Tum Aa Jao

Kabhi Khud Ko Itna Kamzour Na Hone Dia Mene
Par Aaj Bikhar Gaya Hoon Kaash Tum Aa Jao

Tum Se Miltay Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe
Chahiye Aaj Bahoon Ka Sahara Kaash Tum Aa Jao

Barson Se Jee Raha Hoon Bin Tere Aey-Jaan-e-Wafa
Aaj Nahi Guzar Raha Aik Pal Kaash Tum Aa Jao 

Waqt Ki Raftaar Bhi Jaisay Tham Si Gai Hai
Tham Na Jaye Meri Saansey Kaash Tum Aa Jao

Apki yaad aati rahi raat bhar ...

Apki yaad aati rahi raat bhar 
Chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar 

Raat bhar dard ki shama jalati rahi 
Gham ki lau thartharati rahi raat bhar 

Bansuri ki sureeli suhani sadaa 
Yaad ban ban ke aati rahi raat bhar 

Yaad ke chand dil mein utartey rahe 
Chandani jagmagati rahi raat bhar 

Koi deewana galiyon mein phirta raha 
Koi awaz aati rahi raat bhar

Lahoo main rung lehranay lagay hain....

lahoo main rung lehranay lagay hain
zamanay khud ko duhranay lagay hain 

paroo'n main lay kay bay hasil uranai'n
parinday laut kar anay lagay hain

kahan hay qafila baad_e_saba ka!
diloo'n kay phool murjhanay lagay hain

kuch aisie bay yaqini thi fiza main
jo apnay thay Woh bay ganay lagay hain

khula hay raat ka tareek jungle
aur andhay rah dikhlanay lagay hain

bachanay aayeey thay deewar laken
imarut hi ko ub dhanay lagay hain

AMJAD ISLAM AMJAD

Udas shamon mein hum say milnay ajaya karoo...

Udas shamon mein hum say milnay ajaya karoo
Kabhi tum bhi rasmemohabat nibha jaya karo

Andhera he andhera hay in rahon mein
Tum he koi diya aakay jalajaya karo

Hum he tumhein yaad kartay rahein kiya umrbhar
Kabhi tum bhi humari khatir ansoo baha liya karo

Ghanay darkht ki thandi chaya hotay hein
Apnay buzrogon ki duain lay kay bahar jaya karo

Sari duniya he udas dikhai deti hay "Jaan"
Tum he kisee ko dekh kay muskura liya karo

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Say Mulaqaat “Wasi”....

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Say Mulaqaat “Wasi”
Ab To Urooj Pey Pohonchi Hai Uski Zaat “Wasi”

Wohi Vaadey Hain Aur Rasmon Ki Zanjeerein Baqi
Kab Badalti Hain Zamaney Ki Riwayaat “Wasi”

Ek Wo Din Thy Ke Ek Doosray Ko Sochtey Thy Hum
Ab Miltey Nahi Dono Ke Khayalaat “Wasi”

Meri Har Subah Ka Aaghaz Tere Naam Say Ho
Teri Yaadon Me Kat’ti Meri Har Ek Raat “Wasi”

Tum Kahan Aur Mere Pyar Ka Maiyaar Kahan
Wo Kitni Saadgi Say Kar Gaya Ye Baat “Wasi“

Meri Zindagi Ki Kitaab Ka.....

Meri Zindagi Ki Kitaab Ka Hai Warq Warq Yon Saja Howa

Sar-e-Ibtida Sar-e-Inteha Tera Naam Dil Pe Likha Howa

Ye Chamak Dhamak To Fareeb Hai Mujhe Dekha Gehri Nigha Se

Hai Libaas Mera Saja Howa Mera Dil Hai Lekin Bhuja Howa

Meri Aankh Teri Talaash Me Yon Bhatak`ti Rehti Hai Raat Din

Jaisay Jangalon Me Hi`ran Koi Ho Shikariyon Me Ghiraa Howaa

Wednesday, July 11, 2012

Badan mein rang bharta hai tumhara chand sa chehra...

Badan mein rang bharta hai tumhara chand sa chehra... 
Mujhey baychain kerta hai tumhara chand sa chehra... 

Usi ehsaas ka nasha liyay phirta hun duniya mein... 
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra... 

Mujhey yeh chandni raatein buhat baykaif lagti hein... 
Jab aankhoun mein ubharta hai tumhara chand sa chehra... 

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta... 
Mujhey madhosh kerta hai tumhara chand sa chehra... 

Meri basti sey shayed iss liyay tum door rehtay ho... 
Gehan lagnay sey derta hai tumhara chand sa chehra...

Waqt...


Waqt Muqarar Hai Her Cheez Ka Kaha Tha Tum Ne
Mana Lakin Chahat Ka Maza Aaj Bhi Hai

Teri Ulfat Ke Sahare Guzar Jae Umr Bhi
Yehi Tamana Thi Barsoon Se Aur Aaj Bhi Hai

Kuch To Jheelna Hi Ho Ga Tum Ko Bhi Muhabbat Main
Keh Nibhane Ka Waqt Aur Maza Aaj Hi Hai

Tum Ker Do Jo Wafa In Wadoon Aur Qasmoon Ko
To Samjhoon Gi Shazi Muhabbat Ka Maza Aaj Hi Hai

Sab Se Chuppa Ker....

Sab Se Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya

Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya

Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya

Janey Kiya Usko Logoon Sey Thin Shikayaten
Tanhayon Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya

Khud Bhi Woh Hum Se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya

Sadaa Deti Hai Khushboo...

Sadaa Deti Hai Khushboo Chaand Taare Bol Parte Hain
Nazar Jaisi Nazar Ho To Nazaare Bol Parte Hain

Mehak Jaate Hain Gul Jaise AnMoL Ke Choom Lene Se
Agar Lehrayein Mukhaatib Hon Kinaare Bol Parte Hain

Zabaan Se Baat Karane Mein Jahaa Rusvaayee Hoti Hai
wahaan Khaamosh Aankhon Ke Ishaare Bol Parte Hain

Chupanaa Chaahate Hain Un Se Dil Ka Haal Hum Lekin
Humaare Aansu-o-n Mein Ghum Hamaare Bol Parte Hain

Terii Pabandiyon Se Ruk Nahin Sakatin Ye Faryaadein
Agar Hum Chup Rahein To Zakhm Saare Bol Parte Hain

Mein Janti Hoon....

Main Janti Hoon Meri Khuddariyan Tujhe Kho Deingi
Mager Karoon Main Kya Mujhe Maangne Se Nafrat Hai

Apni Zaat Ke Rang Kisi Aur Per Aashna Karoon
Mujhe Hamdardiyon Se Nafrat Hai

Tanhayiyan Hi Meri Dost Mere Humraz Hain
Mujhe Humgamon, Mehfilon Se Nafrat Hai

Pasand Tou Hain Mujhe Yeh Rishte Naate
Mager Mere Dil Ko Pabandiyon Se Nafrat Hai

Jo Karsako Qabool Mujhe Khamiyon Samet
Verna Mujhe Nawazishon Se Nafrat Hai

Yeh Theek Hai Main Bauhat Ana Parast Hoon
Mujhe Zindagi Ki Bekeemati Se Nafrat Hai

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena...

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Ye Izhar Kabhi Wapis Mat Lena

Ankhain Roshan Kerna Hamaisha Mere Chehre Se
Mujh Se Ye Deedar Kabhi Wapis Mat Lena

Mujh Ko Her Pal Kehtay Rehna Ke Tum Mere Ho
Mujh Se Ye Iqrar Kabhi Wapis  Mat Lena

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Ye Izhar Kabhi Wapis Mat Lena

Thursday, May 31, 2012

Apne ehsas se choo kar mujhe sandal kardo...

Apne ehsas se choo kar mujhe sandal kardo
Mai to sadiyon se adhoori hoon mukammal kardo

Na tumhe hosh rahe na mujhe hosh rahe
Is tarah toot kar chaho ki mujhe pagal kardo

Dhoop hi dhoop hoon is tarah toot ke barso mujh par
Mai to sehra hoon mujhe peyar ka badal kar do

Dil me basai thi tasvir mita dena....

Dil me basai thi tasvir mita dena
Aankhon me basaya tha nazron me gira dena

Tum ko to wafa meri kuch raas na aai
Jati hoon tere dar se mujhko na sada dena

Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki
Tum meri wafaon par ilzam laga dena

Fir oski tamanna keya jo gair ka ho jaye
Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena

Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye...

Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye
Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye

Sitare mashalen le kar mujhe bhi dhoondne niklain
Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye

Men wo adam-e-guzeda' n hoon jo tanhai k sehra men
Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye

Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki
Na ho daaman mein zar'ra aur sehra naam ho jaye

Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai
Hum is se bach ke chalte hen jo rasta aam ho jaye

Khot...

Meri Chahat Me Khot To Nhi Shamil
Phir Q Wo Barbar Azmata Hay Mujhe

Mera Dil Uski Yaad Se Ik Pal Bhi Nhi Ghafil
Phir Kese Mumkin Hai K Wo Bhool Jaye Muje

Meri Chahat Me....

Meri Chahat Me Tum Khudh Ko Yun Na Jalaya Karo
Kuch To Apni Zaat Ki Bhi Parwa Kiya Karo

Tumhare Bagher Kaise Jee Sakta Hoon Me
Khudh Ko Is Haqeeqat Se Aashna Karo

Mujhe Manzoor Nahi Ye Shafqat-E-Pidri Bhi
Apne Naam Ke Aagey Koi Naam Na Lagaya Karo

Meri Yaad Me Agar Tum Ro To Ro
Magar Aankhon Me Apni Kajal Na Lagaya Karo

Manzoor Gar Nahi Tumhe Meri Rafaqat
Mujh Se Phir Mila Bhi Na Kiya Karo

Haseeb In Ashkbar Aankhon Ke Liye Koi Veerana Dhoondh Lo
Sar-E-Aam Ro Ro Kar Yun Meri Mohabbat Ko Ruswa Na Kiya Ka

Monday, May 28, 2012

Main khush naseebi...

Main khush naseebi hoon teri mujhe bhi raas hai tu
Tera libaas hoon main aur mera libaas hai tu

Ajeeb shay haimohabbat bhi, dard hain lekin
Tere kareeb hoon main, mere aas pass hai tu

Kia hai khud ko faramosh maine tere liye
Bohut hi aam hai dunya, bohut hi khass hai tu

Zamana hum ko juda kar sake, nahi mumkin
Mohabbatoon main jo nakhun hoon main to maas hai tu

Ye reet si mere honton pe jam gayi kaisi
Muje gumaa thaa ke daryaa hoon main to piyaas hai tu

Ye kon tere mere darmiyaan hai janaa
Ke main bhi dard main hoon aur mahoo yaas hai tu

Apne Lahoo Se Tera...

Apne lahoo se tera muqadar sanwar ke
“Wo jaraha hai koi shab gham guzar ke”

Kuch iss liye bhi apna assasa hai sirf yaad
Dono jahan phaink dai tujh pe war ke

Yak dam hi aagaya jo kisi dosare pe dil
Ye faisle to hote nahi ikhtiyaar ke

Dil ko tumhare dard ne cheera kuch iss tarha
Jaise kisi ne cheer dye sur sitar ke

Hum khasta tan aaj se hum hain berhana tan
Le phaink diye humne tere gham utaar ke

Kaheen Jaye Ussey....

Kaheen jaye ussey meri duain yaad karti hain
Ussey kehna ussey meri wafain yaad karti hain

Main aksar aaine ke samne be chain rehti hoon
Kisi ne khat main likha hai, addain yaad karti hain

Ussey kehna khizain aagai hain ab to loot aao
Ussey kehna December ki hawaain yaad karti hain

Ussey kehna ke aankho par ghani badli si chahi hai
Jinhain dil par barasna hai ghataain yaad karti hain

Gaya thaa jab tu meri khuwahish bhi sath le jata
Lahoo main nachti kuch iltajain yaad karti hain

Aik Masoom Taqadus...

Aik masoom taqadus main bhigoya ho lums
Kitna pakizah ehsas main dhooya hoa lums

Ye ter jism ki khushboo ka sunheera ehsas
Jis tarha chand ke hale main proya ho alums

Iss ke honton ko main choloon to gumaan hota hai
Jaise janat ke gulaboon main doboya ho lums

Tab kaheen ja ke khuli mujhe pe haseeno ki zubaan
Jab shab-e-wisil mere jism se goya ho lums

Jo meri rooh main utre hi chale jate ho
Aik naye rang main ubhre gaa ye boya hoa lums

Bheeni khushboo main basa wisal main bheega bheega
Kitna masoom hai pehloo main ye soya ho lums

Tishnagee aan basi hai meri poroon main Wasi
Dhondta phir ta hoon mudat se main khoya ho lums

Kon kehta hai...

Kon kehta hai, shrarat se tumhe daikhte hain
Janeman hum to mohabbat se tumhe daikhte hain

Tum ko maloom nahi tum ho muqadas kitne
Daikhte hain to aqeedat se tumhain daikhte hain

Daikh ke tum ko kisi aur ki yaad aati hai
Hum kisi aur hi nisbat se tumhain daikhte hain

Sath gheero ke nazar aao to jee kurhtaa hai
Kia kahain kaisi azyet se tumhe daikhte hain

Jhookni parti hai ye jaan azaboon main humain
Ko kehta hai sahoolat se tumhe daikhte hain

Jane kiya likhte ho kiya sochte rehte ho Wasi
Raat ko jab bhi kabhi chaht se tumhe daikhte hain

Wo bohut rakhta hai...



Wo bohut rakhta hai chahat ki nemazoo ka hisaab
Wo to aik sijdah na bakhshe jo qaza hojaye


Thapkiyaan de ke sulati hai teri yaad humain
Neend jis raat bhi aankho se khafa ho jaye


Ye tareeka hai mohabbat ki ibadat ka wasi
Iss ko choolene se aik rukun ada ho jaye

Hum Tere Hijir Main...

Hum tere hijir main under se bikhar jate hain
Zindah lagte hainasal main marjate hain

Jab kabhi bolta hai hans ke kisi aur se tu
Kitne khanjar mere seene main utar jate hain

Teri yadoon ki “agarbatiyaan” jal uthte hi
Hum tere dard ki khushboon se bhar jate hain

Hum se awarah phira karte hain galyoon main kaheen
Shaam hote he Wasi log to ghar jate hain

Tum.....

Tum mere dard bhi, gham bhi, mere alaam bhi tum 
Tum mera chain ho janaa, mere aaram bhi tum

Kamiyaabi ko nahi humne tumhe chaha hai
Hum tumhare hain bhale hogye nakaam bhi tum

Main masihaa hoon agar, merea wazeefa tum ho
Main hoon mujrim to mreri jaan mera ilzaam bhi tum

Mukhtalif heelo bahanoo se sochte ho
Aik din khul ke pukaro gey mera naam bhi tum

Raat din tum ko faqat tum ko mjhe sochana hai
Meri fursat bhi tumhe aur mera kaam bhi tum

Jis se roshan mera aangan hai tumhi wo chragh ho
Sach to ye hai ke tumhe ghar ho dar-o-baam bhi tum

Ye siyasat bhi ajab khail hai bhole panchi
Yahan siyaad bhi tum hoo, to te daam bhi tum

Tuesday, May 8, 2012

Dil tore dia...

Kuchh to duniya ki inaayaat ne dil tod diya
Aur kuchh talkhi-e-haalaat ne dil tod diya.

Hum to samjhe the ki barsaat mein barsegi sharab
Aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya.

Dil to rota rahe aur aaNkh se aaNsu na baheN
Ishq ki aisi ravayaat ne dil tod diya.

Wo mere haiN, mujhe mil jayeNge, aa jayeNge
Aise bekar khyalaat ne dil tod diya.

Aap ko pyar hai mujhse ki nahiN hai mujhse
Jane kyoN aise sawaalat ne dil tod diya.

SUDARSHAN FAKIR

Sunday, April 15, 2012

iss bharey shehar mein meri tarha ruswa hota

iss bharey shehar mein meri tarha ruswa hota
tujh pay bhi haadsa e shauq jo guzra hota

tuu ne harchand zuban par tou bithaye pahrey
baat jab thi ke meri sooch ko badla hota

rakh liya ghum bhi tera bar-e-amanat ki tarha
kon is shehar key bazar mein ruswa hota

jab bhi barsa hai tarey shehar ki janab barsa
koi badal tou sar-e-dashat bhi barsa hota

aaina khaney mein ik umer rahey mehaw e khayaal
apney andar sey nikal kar kabhi dekha hota

meri khashti ko bhala mauj dubo sakti thi
main ager khud na shareek-e-ka'f e darya hota

tujh pe khul jati meri rooh ki tanhai bhi
meri aankhoon mein kabhi jhaank key dekha hota

us ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye

us ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye
bikne ko saare log hii tayyaar ho gaye

us ne kahaa ke aik wafadaar chaahiye
saare jahaaN ke log wafadaar ho gaye

us ne kahaa ke ko’ii gunah-gaar hai yahaaN
jo paarsaa the vo bhii gunah-gaar ho gaye

us ne kahaa ke aajiz-o-miskiiN hai ko’ii
sab log gard-e-kuucha-o-baazaar ho gaye

us ne kahaa ke kaash ko’ii jangjuu mile
aapas mein yaar barsar-e-paikaar ho gaye

us ne kahaa “Adeem” mera haath thaam-na
chaaron taraf se haath namudaar ho gaye

Monday, March 26, 2012

♥ Tere Bin ♥

Ruk gayi zindegani bas ek mor par
Tere bin yunhi mosam guzarte rahe

Dil ke aangan main roti rahi Hasraten
Aankh zinda rahi khuwaab marte rahe

Jab talak tu meri simt chalta raha
Pooch kar mujh se suraj Bhi Dalta raha

Tere lehjay ki khushboo main bheegay hue
Chaand taare mere ghar utartay rahe

Ankh main chahaton ke samandar liye
Kitni jaldi tu mujh se juda ho gaya

Jane waale! Tujhe kya khabar hai ke hum
Lamha lamha tere baad marte rahe

Thursday, March 1, 2012

Sawal tanha jawab itney

Khayal e yakta main khwab itney
sawal tanha jawab itney

kabhi na khoobi ka dhyan aya
huye jahan main kharab itney

hisaab dena para hamen bhi
k hum jo they behisaab itney

bas ik nazar main hazaar baten
phir is se agay hijaab itney

mehk uthey rang e surkh jaisey
khilay chaman main gulaab itney

Muneer aye kahan se dil main
naye naye izteraab itney

Aseer-E-Khuvaa'ish Qiad-E-Muqaam Tu Hai Kay Mai-n,,,

Aseer-E-Khuvaa'ish Qiad-E-Muqaam Tu Hai Kay Mai-n,,,
Nizaam-E-Shams-O-Qamar Ka Ghulaam Tu Hai Kay MAi-n,,,

Hai Dono-n Mai-n Zaahir,, Hai Kon Tu Hai Kay Mai-n,,,
Chhupa Hova Hai Jo Nazro-n Say Daam,, Tu Hai Kay Mai-n,,,

Numaa'ish-E-Maah'Kaamil Pay Kis Ka Saaya Hai,,,
Yeh Uss Kay Chaaro-n Taraf Abar-E-Shaam Tu Hai Kay Mai-n,,,

Urha Hai Rang Dar-O-Baam-O-Baaraa-n Say,,,
Nagar Ki Ess Ghani Chup Mai-n Madaam Tu Hai Kay Mai-n,,,

Makaan-E-Door Say Aati Hai Ek Sada Si "Muneer",,,
Bhula Diya Jisay Sab Nay Vo Naam Tu Hai Kay Mai-n...

Koi daaGh hai mere naam par...

koi daaGh hai mere naam par
koi saayaa mere kalaam par

ye pahaaR hai mere saamne
ke kitaab manzar-e-aam par

kisi intizaar-e-nazar meN hai
koi roshni kisi baam par

ye nagar parindoN ka Ghol hai
jo giraa hai daana-o-daam par

Gham-e-Khaas par kabhi chup rahe
kabhi ro diye Gham-e-aam par

hai “Munir” hairat mustaqil
maiN khaRaa huN aise muqaam par

Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saaNp Khazaane mein....

Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saaNp Khazaane mein
zar ke zor se zindaa hain sab Khaak ke is viiraane mein

jaise rasm adaa karate hon shaharon kii aabaadii mein
subah ko ghar se duur nikal kar shaam ko vaapis aane mein

niile rang mein Duubii aaNkhen khulii parii thiin sabze par
aks paraa thaa aasmaan kaa shaayad is paimaane mein

dil kuchh aur bhii sard huaa hai shaam-e-shahar kii raunaq mein
kitanii ziyaa be-suud gaii hai shiishe ke lafz jalaane mein

main to 'Munir' aaiine mein Khud ko tak kar hairaan huaa
ye cheharaa kuchh aur tarah thaa pahale kisii zamaane mein

Ye kon mujh me apni zaba'n bolta raha...

Ye kon mujh me apni zaba'n bolta raha
patthar b aaine ki zaba'n bolta raha

kya uss se behs karti meri kam sukhan nazar
har zaviye se usska badan bolta raha….

bheja jakar k youn mujhay sanson ki dor me
jab tak me ji saka ye girah kholta raha

thi uss ki qurbaten bhi Muzaffar banawati..
tooti tarazuon me mujhe totlta raha….

Hum logoN ne ishQ eejaad kiya...

Jab dahr ke gham se amaaN na milii, hum logoN ne ishQ eejaad kiya
Kabhi shahr E butaaN me kharaab phire kabhi dasht E junuN aabaad kiya

Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman, raha kitne dinoN yahi ji ka chalan
JahaaN husn mila wahaaN baith rahe, jahaaN pyar mila wahaN saad kiya

Shab E maah me jab bhi yeh dard uTha, kabhi bait kahe (likhi ‘Chand Nagar’)
Kabhi koh se jaa sar phoR mare, kabhi kabhi Qais ko jaa ustaad kiya

Yahi ishQ bil-aakhir rog banaa, K hai chaah k saath bijog banaa
Jise ban_na tha aish woh sog banaa, baRa man ke nagar me fasaad kiya

Kaghaz Ka Ghar Bana K Bhi Khawahish Hawa Ki Thi...

Safar-E-Wafa Ki Raah Mein Manzil Jafa Ki Thi,
Kaghaz Ka Ghar Bana K Bhi Khawahish Hawa Ki Thi

Thi Jugnuon K Shehr Mein Taron Se Dushmani,
Mashooq Chaand Tha Aur Tamanna Subha Ki Thi

Tum Ne To Ibadat Ka Tamasha Bana Diya,
Chahat Namaz Ki Thi Per Aadat Qaza Ki Thi,

Maine To Zindagi Ko Tere Naam Likha Tha,
Shayad Mgr Kuch Aur Hi Marzi Khuda Ki Thi,

Dard He Dena Tha To Pehle Bata Detay,
Hum Ko Bhi Azal Se He Tamana Saza Ki Thi...!!!

Tuesday, February 14, 2012

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho...

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

Jab Palkein jaaagh kar Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

Deewanay....

Subha ke khuwab dekhnay walay sub dewanay hotay hain
raat mein deep jalanay walay sub dewanay hotay hain

akhir ishq nibhanay waly munzil bhi paa laitay hain
raah say loat ker janay walay sub dewanay hotay hain

aik zara si thais se sheeshay kerchi kerchi hotay hain
zakhmon per muskuranay walay sub dewanay hotay hain

sara shehar he dewanon ko samjhanay a jata hai
aison ko samjhanay walay sub dewanay hotay hain

dostoon say bhi kuch baaton ko chupa laina hi behter hai
dil ki baat batanay waly sub dewanay hotay hain

Woh batain teree woh fasanay teray...

woh batain teree woh fasanay teray
shagufta shagufta bahanay teray

faqeeron kee jholee na ho gee tahee
hain bharpoor jab tak khazanay teray

bas ik daagh e sajda meree kainat
jabeenain teree aastanay teray

zameer e sadaf mein kiran ka maqam
anokhay anokhay thikanay teray

adm bhee hai tera hikayat kada
kahan tak gaye hain fasanay teray

Zindagi Mein Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahin

Zindagi Mein Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahin
Tamasha Hai Yeh Duniya Is Ke Siwa Kuch Nahin

Meri Zindagi Se Puchiye Zindagi Kiya Hai
Zindagi Hai Aik Khawab Is Ke Siwa Kuch Nahin

Khushiya Hai Lakhon Is Duniya Mein Magar
Udasi Hai Mere Dil Mein Is Ke Siwa Kuch Nahin

Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hai Khush Ho Kar
Un Ke Dilon Mein Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahin

Wada Tu Karte Hai Log Magar Jante Nahin Wafa Karna
Bewafai Hai Is Duniya Mein Is Ke Siwa Kuch Nahin

Pal Mein Jise Chaha Usse Pal Mein Bhola Diya
Yeh Khel Hai Duniya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi

Tum Ko Chaha Hai Magar Kuch Bhi Nahi Soucha Ke
Duniya Tu Hai Ik Sarab Is Ke Siwa Kuch Nahin

Monday, February 6, 2012

Ahmed Faraz...Dil tehernay day tou ankh bhi jhapakte jaa wain...

Dil teherne de to ankhain bhi jhapak'tay jaawain
Hum k tasveer banay bas tujhko taktay jaawain

Choo be nim khorda ki manind sulagte rahe hum
Na tou bujh paye, na bharkain, na dehekte jaawain

Kia karay chara koi? jab tere andar wo naseeb
Muh say kuch bhi na kahain aur sisaktay jaawain

Koi nashay say koi tishna labi say saaqi
Teri mehfil main sab he Loag behekte jaawain

Kabhi us yaar e suman ber k sukhan bhi sunyo
Aisa lagta hay k ghunchay say chatakte jaawain

Humnawa sanje mohabat hain her aik rut main Faraz
Wo qafas ho k gulistan, Jo chahaktay jaawain....

Sunday, January 8, 2012

PhooloN ki tehniyoN pe nasheman banaaiye...


PhooloN ki tehniyoN pe nasheman banaaiye
Bijlee gire to jashn-e-charaaghaaN manaaiye

KaliyoN ke ang ang me meetha sa dard hai
beemaar nikahatoN ko zaraa gud-gudaaiye

Kab se sulag rahi hai javaani ki garm raat
ZulfeN bikher kar mere pehloo men aaiye

Behkee hui siyah ghataaoN ke saath saath
Ji chahataa hai shaam-e-abad tak to jaaiye

Sun kar jise hawas me thandak si aa base
Aisi koee udaas kahaani sunaaiye

Raste pe har qadam pe Kharabat haiN "Adam"
Ye haal ho to kis tarah daaman bachaaiye

Abdul Hameed Adam

Main janta tha hijr main wo moR aayega....

Main janta tha hijr main wo moR aayega
tujhko bhi chandni main samandar rulayega

puuchega jab koi terey haalat e zindagi
tu us ko duusron k fasaaney sunayega

dil sokhta mile ga tujhey jab kaheen koi
shiddat se aik shakhs tujhey yaad aayega

jo baat bhuulne ki hai yaad aayegi tujhe
rakhna hai jisko yaad usey bhool jayega

suntey hain keh diya hai wo lagon se bar bar
ab umr bhar wo dil na kisi ka dukhayega

khush fehm uske wada e paiman par to hoon
dekhoon wo kitna sabr mera aazmayega

tareek bam o dar men na rakkhe ga be charagh
wo merey dil men dard ki shammen jalayega

Aitebaar Sajid

Us Zakhm-e-Jaan K Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara....

Us Zakhm-e-Jaan K Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara
Us Zinda'Dil K Naam, Jo Ab Tak Nahi Mara
Us Zindegi K Naam, Guzaara Nahi Jisey
Us Qarz-e-Fun K Naam, Utaara Nahi Jisey
Ehl-e-Nazar K Naam, jo Johar Shanaas Hain
Ehl-e-Wafa K Naam, Jo Fun ki Asaan Hain
Un Doston K Naam, Jo Gosha'Nasheen Hain
Un Be'Hisson K Naam, Jo Baar-e-Zameen Hain
Un Be'dilon K Naam, Jo Har Dam Malool Hain
Un Be'bason K Naam, Jo Gamlon ke Phool Hain
Un Ehl-e-Dil K Naam, Jo Raahon ki Dhool Hain
Un Hoslon K Naa , Jinhein Dukh Qabool Hain
Us Shola'Rukh K Naam K Roshan Hai Jis Se Raat
Hai Zofishaan Andherey Mein Hai Nuqta-e-Kitaab
Aur Husn-e-Baa-Kamaal ki Raanaaiyon K Naam
Aur Apney Zehn-o-Qalb ki Tanhaaiyon K Naam

Aitebaar Sajid

Main kisey suna raha hoon ye ghazal muhabbaton ki...

Main kisey suna raha hoon ye ghazal muhabbaton ki
Kahein aag saazishon ki kahein aanch nafraton ki

Koi baagh jall raha hai ye magar meri duaa hai
Mere phool tak na pahunchay ye hawa tamazaton ki

Mera kon sa hai mausam mere mausamon ke wali
Ye bahaar be'dili ki ye khizaan muhabbaton ki

Main qadeem baam-o-dar main unhen ja ke dhoondta hoon
Wo dayaar nikhaton ke wo fizaayein chahaton ki

Kahein chaand ya sitaare huye hum'kalaam mujh se
Kahein phool seeRhiyon ke kahein jhaaRiyan chaton ki

Mere kaaghzon main shayd kahein ab bhi so rahi ho
Koi subha gulstaan ki koi shaam parbaton ki

Aitebaar Sajid

Chahat Ki Rehguzar Mein Tijaarat Nahi Karo...


Chahat Ki Rehguzar Mein Tijaarat Nahi Karo
Aisa Hi Shoq Hai To Mohabbat Nahi Karo

Jab Dil Se Har Qasoor Ko Tasleem Kar Liya
Lafzon Mein Baar Baar Wazaahat Nahi Karo

Saansein Meri Na Qaid Karo Sood Ke Iwaz
Mujh Se Wasool Jeeney Ki Qeemat Nahi Karo

Naqsha Merey Bazurgon Ne Is Ka Banaya Tha
Taqseem Baam-o-Dar Ki ye Jannat Nahi Karo

Ik Aakhri Panaah To Rehney Do Merey Paas
Mujh Se Juda Ye Ghar, Ye Meri Chatt Nahi Karo

Tum Zar'Khareed Munsif-o-Aadil Ho , Is Liye
Merey Mua'amley Ki Samaa'at Nahi Karo

Aitebaar Sajid

BheeR hai bar'sar e bazaar kahein aur chalain...

BheeR hai bar'sar e bazaar kahein aur chalain
Aa merey dil merey gham'khuwaar kahein aur chalain

Koi khiRki nahi khulti kisi baagheechay mein
Sans lena bhi hai dushwaar kahein aur chalain

Tu bhi maghmoon hai mein bhi hoon bhout afsurda
Dono is dukh say hain do'chaar kahein aur chalain

Dhondtay hain koi sar'sabz khushada si fiza
Waq't ki dund kr us paar kahein aur chalain

Ye ju phoolon say bhara shehar howa karta tha
Is ke manzer hain dil'azaar kahein aur chalain

Aisay hangama e mehsher mein tu damm ghutta hai
Baaatain kuch karni hain is baar kahein aur chalain

Aitebaar Sajid

Meri raaton ki raahat din ka itme'anan ley jaana...

Meri raaton ki raahat din ka itme'anan ley jaana
Tumharay kaam aa jaaye ga,Ye samaan ley jaana

Tumharay baad kia rakhna anaa say waasta koi?
Tum apnay sath mera um'r bhar ka maan ley jaana

Shikasta k kuch raizay phaRay hain farsh per, Chun lo
Ager tum joR saktay ho to ye ghuldaan ley jaana

Udhar almariyon mein chand oraaq e pershaan hain
Merey ye baaqi'manda khwaab meri jaan ley jaana

Tumhain aisay to khali hath rukhsat kar nahi saktay
Puraani dosti hai is ki kuch pehchaan ley jaana

Irada kar liya hai tum ne ghar sach much bichaRnay ka
To phir apnay ye saaray waada o pimaan ley jaana

Ager thoRi bohat hai shairy say un ko dil'chaspi
To un k saamnay tum mera ye deewan ley jaana

Aitebaar Sajid

Dukhoun Ki Shiddatien Zakhmon Ki Gehraii Mujhey Dey Do...

Dukhoun Ki Shiddatien Zakhmon Ki Gehraii Mujhey Dey Do
Maseeha Tum Sahii Azn E Maseehaii Mujhey Dey Do

Tum Apni Zaat Mein Khud Anjuman Ho Tum Ko Kya Gham Hai
Main Tanha Hoon Ye Zouq E Bazm Aaraii Mujhey Dey Do

Tum Apney Dil Key Darwazey Muqaffal Shouq Sey Kar Lo
Bas Apni Zaat Sey Azn E Shanasaii Mujhey Dey Do

Tumharey Baad Har Manzar Mujhey Be'Rung Lagta Hai
Ye Aankhien Cheen Lo Ya Apni Beenaii Mujhey Dey Do

Main Sanson Mein Samo Loon Ga Tumharii Har Amanat Ko
Ye Wehshat-Naak Sannaatey Ye TANHAII Mujhey Dey Do

Meri Shohrat Tumhaarey Kaam Aa Jaye To Haazir Hai
Tumhien Dunya Ne Bakhshii Hai Jo Ruswaai Mujhey Dey Do

Main Shayar Hoon Meray Be-Kaif Be-Taseer Lafzon Ko
Amar Kar Do Tum Apney Ghum Kii Ra’anaii Mujhey Dey Do

Aitebaar Sajid

terey jaisa mera bhi haal tha, na sakoon tha na qaraar tha...


terey jaisa mera bhi haal tha, na sakoon tha na qaraar tha
ya'hi um'r thi merey ham'nasheeN ke kisi se mujh ko bhi pyaar tha

ma samajh raha tha teri kasak, tera mera dard hai mush'tarik
isi gham ka tu bhi aseer hai, isi dukh ka ma bhi shikaar tha

faqat aik dhun thi ke raat din usi khwaab'zar ma ghum raheiN
wo suroor aisa suroor tha, wo khumaar aisa khumaar tha

kabhi lamha bhar ki bhi guftaguu meri us ke saath na ho saki
mujhey fursateiN na mil sakeiN, wo hawa ke rath pe sawaar tha

ham ajeeb tarz ke log they ke hamaarey aor hi rog they
ma khizaaN ma us'ka tha muntazir, ussey intezaar-e-bahaar tha

isey paRh ke tum na samajh sakey ke meri kitaab ke roop ma
koii qarz tha kaii saal ka, kaii rat'jagoN ka udhhaar tha

Aitebaar Sajid

Tujh se bichaR k aankh ko num kis liye karen...

Tujh se bichaR k aankh ko num kis liye karen
Tujh ko melaal nahi to hum kis liye karen

Duniya ki be'rukhi to nahi hai koi jawaaz
Is sheddat-e-khaloos ko kam kis liye karen

Taa um'r qurbton ka tu imkaan he na tha
Aakhir faraq-e-yaar ka ghum kis liye karen

Apna janoon o daad-o-sataysh se be'neyaz
Pher be khudi ka haal raqum kis liye karen

Jin ke liye ufaq pe chamkte hain raastey
Matti pe sabt naqsh-e-qadam kis liye karen

Manoos ho chuke hain anderon say apne log
Ab ehtejaaj e subh e karam kis liye karen

Saajid koi nayi to nahi hai yeh teergi
Aakhir malaal-e-shaam e alam, kis liye karen

Aitebaar Sajid

Is Dil Ne Terey Baad Mohabbat Bhi Nahin Ki...

Is Dil Ne Terey Baad Mohabbat Bhi Nahin Ki
Had Ye K DhaRakney Ki Jasaarat Bhi Nahin Ki

Ta'beer Ka Aizaaz Huaa Hai Ussey Haasil
Jis Ne Merey Khwaboob Mein Shiraakat Bhi Nahin Ki

Ulfat To BaRi Baat Hai Ham Se To Sar-e-Shehar
Logon Ne Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahin Ki

Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhaatey Hain Jinhon Ne
Do Chaar Qadam Tay Ye Musaafat Bhi Nahin Ki

Kya Apni Safaaii Mein Bayaan Dete K Ham Ne
Na'Karda Gunaahi Ki Wazaahat Bhi Nahin Ki

Khaamosh Tamashaaii ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakh'm Sahey Dil Pe, Shikaayet Bhi Nahin Ki

Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhey ChoRney Aaye
Dehleez talak Us Ne Ye Zehmat Bhi Nahin Ki

Us Ne bhi Ghulaamon Ki Safon Mein Hamein Rakha
Is Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahin Ki

Aitebaar Sajid

Tumehin Jab Kabhi Milein Fursatein, Merey Dil Se Bojh Se Utaar Do...

Tumehin Jab Kabhi Milein Fursatein, Merey Dil Se Bojh Se Utaar Do
Main Bohat Dinon Se Udaas Hoon, Mujhey Koi Shaam Udhaar Do

Mujhey Apney Roop ki Dhoop Do K Chamak Sakein Merey Khaal-o-Khad
Mujhey Apney Rang Mein Rang Do, Merey Saarey Zang Utaar do

Kisi Aur Ko Merey Haal Se Na Gharaz Hai Koi Na Waasta
Main Bikhar Gaya Hoon Samet Lo, Main BigaR Gaya hoon Sanwaar Do

Meri Wehshaton Ko BaRha Diya Hai Judaaiyon Ke Azaab Ne
Merey Dil Pe Haath Rakho Zara, Meri DhaRkanon Ko Qaraar Do

Tumhein Subah Kaisi lagi Kaho, Merey Khwahishon K Dayaar Ki
Jo Bhali lagi To Yaheen Raho, Issey Chahaton Se Nikhaar Do

Wahan Ghar Mein Kon Hai Muntazir K Fik'r Ho Dair Sawair Ki
BaRi Mukhtasir Si Ye Raat Hai Issi Chandni Mein Guzaar Do

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shaakhsaar Ki Ot Mein
Mujhey Raastey Mein Yaheen Kaheen Kisi Kunj-e-Gull Mein Utaar Do

Aitebaar Sajid

Us Ne Kaha K Mujh Se Tumhein Kitna Pyaar Hai...

Us Ne Kaha K Mujh Se Tumhein Kitna Pyaar Hai
Main Ne Kaha Sitaaron Ka Koi Shumaar Hai

Us Ne Kaha K Kon Tumhein Hai Bohat Aziz
Main Ne Kaha K Dil Pe Jise Ikhtyaar Hai

Us Ne Kaha K Konsa Tohfa Hai Man-Pasand
Main ne Kaha: Wo Shaam, Jo Ab Tak Udhaar Hai

Us Ne Kaha: Khizaan Mein Mulaaqaat ka Jawaaz?
Main Ne Kaha K Qurb Ka Matlab Bahaar Hai

Us Ne Kaha K SainkRon Gham Zindagi Mein Hain
Main Ne Kaha K Gham Nahi, Jab Gham'gusaar Hai

Us Ne Kaha K Saath Kahan Tak Nibhao Gey?
Main Ne Kaha K Jitni Ye Saanson ka Taar Hai

Us Ne ne Kaha K Mujh Ko Yaqeen Aaye kis Tarah
Main Ne Kaha K Mera Naam Aitbaar Hai

Aitebaar Sajid

Be'sood hamain rozan-o-deewaar se mat dekh...

Be'sood hamain rozan-o-deewaar se mat dekh
Hum ujRey huye log hain too pyaar se mat dekh

Pasti main bhatakne ki nidaamat na sawa ker
MuR muR ke mujhe rif'at e kohsaar se mat dekh

Qeemat na laga jazba-e-eesaar-o-talab kee
Har shay ko faqat chashm-e-kahreedaar se mat dekh

Itna to bharam zakhm-e-shanasaai ka rakh ley
Hans ke meri jaanib sinaf e aghyaar se mat dekh

Aitebaar Sajid

band dareechay, sooni galiyaan an'dekhey anjaney log...

band dareechay, sooni galiyaan an'dekhey anjaney log
kis nagri mein aa nikley hain Sajid ham deewaney log

aik hamhin na'waqif thehrey roop nagar ki galiyon say
bhes badal kar milney waley sab janey pehchaney log

din ko raat kahein so bar'haq, subha ko sham kahein so khoob
aap ki baat ka kehna hi kya, aap huye farzaney log

shikwa kya aur kaisi shikayat, aakhir kuch bunyad to ho
tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log

shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log

suna hai uske ehd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
un galyon mein har har saans pe bhartey hein jurmaney log

Aitebaar Sajid

Bil'Aakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi PaRta Hai...


Bil'Aakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi PaRta Hai
Kisi ke Sar ko Shaaney Se Hata dena Hi PaRta Hai

Kisi Dair Aashna Ko Jhootey Sachey Kuch Hawaalon Se
Taa'aaruf K Liye Sab Se Mila Dena Hi PaRta Hai

Jo Saanson Mein Mehaktey Hain Jo Aankhon Mein Damaktey Hain
Achaanak Aik Din Un Ko Bhula Dena hi PaRta Hai

Diye Jo Ham Jalaatey Hain Nihaayet Shoq Se Har Shab
Unhein Khud Apni Phoonkon Se Bujha Dena Hi PaRta Hai

Koi Jab Haal Poochta Hai Ham se, Kaisa haal hai Sajid
Hamein Mohtaat Ho Kar Muskura dena Hi PaRta Hai

Chamak Uth'tey Hain Sajid Jab Sitaarey Us Ki Palkon Par
Usey Dil Se Laga Kar Hausla Dena Hi PaRta Hai

Aitebaar Sajid

Ab Or Kis Subha Se Main Aas Lagaon !! -

Ab Or Kis Subha Se Main Aas Lagaon
Jab Shaam Tak B Usko Main Yaad Na Aun

Wo Kho Gya Hai Shayed Apni Rafaqaton Main
Ab Barishon K Moasum Main Yaad Kya Dilaon

Tarpa Nahi Hai Ab Tak Wo Kisi Ki Judaiyon Main
Main Apne Aansoou Ko Faryaad Kyun Banaon

Charcha Abhi Nahi Hai Ruswaiyon Ka Meri
Darta Hon Kal Jahan Main Ruswa Ho Na Jaon

Kehta Raha Hon Usko Mera Sath Sath Chalna
Wo Agay Nikal Gaya Hai Main Kahin Bichar Na Jaon

Monday, January 2, 2012

Ek Khwahish Hai, Jhalak Mil Jaye Us Chehre Ki

Ek Khwahish Hai, Jhalak Mil Jaye Us Chehre Ki,
Ke Is Deedaar Ke Baad Koi Tamanna Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Us Dil Tak Pohoche Ye Sadaayein,
Ke Do Dilon Ki Dhakano Mein Koi Doori Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Rishta Jur Jaye Us Naam Se,
Ke Phir Juda Rehne Ki Koi Majboori Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Woh Pyar Mile Unse,
Ke Is Dil Ki Koi Aur Aarzoo Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Woh Haath Thaam Le Is Tarah,
Ke Phir Is Dil Ki Koi Kamzori Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Tanhaii Mein Uska Saath Mile,
Ke Phir Kisi Mehfil Ki Zaroorat Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Maut Aa Jaye Unki Baahon Mein,
Ke Phir Zindagi Se Koi Shikayat Na Rahe

Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya...

Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya,
Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya.

Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar,
Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya.

Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba’ad Marg,
Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor-e-Gharibaan Kardiya

Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka,
Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya

Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!,
Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya

Rakh Diya Zer-e-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka,
Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya

Wafa k qaid khano mein...

Wafa k qaid khano mein
sazaen kab badalti hai?

Badalta dil ka mosam hai
hawayen kab badalti hai?

Meri saari duayen tumse
mansoob hein hamdam,

Muhabat ho agar sachi
duayen kab badalti hein?

Koi pa kar nibhata hai
koi kho kar nibhata hai,

Naye andaz hote hein
wafayen kab badalti hein..?!

Har Yaad ko....

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
ki tarah minnat-e-darban nahin kertay.

Mujh ko chore...

Manjmand khon main halchal kar de
Muj ko chou aur mukamal kar de

Kitni piyasi hain yeh banjar aankheen
Abr zadey,inheen jalthal kar de

Main ne woh dard chopa rakha hay
Jo tar husn ko paghal kar dey

Sarey insaan hi waheshi hain to phir
Is bharey shehar ko ko junghal kar dey

Aey julastey huwey jismon k KHUDA
Jalti dupahir pe badal kar de

Khushbo ai hay to lotey na kabhi
Ab hawa ko bhi koi shal kar dey

Ya mujhye wasl ata kar MALIK
Ya mera hijr mukamil kar dey

Aey Shama....

Aey shama tuh to aik hi shab main jal k mar gai
Yahan jaltey jaltey zindagi apni guzar gai

Mana k tum banao gey shams wa kamr naey
Lekin woh jo aik thi roshni woh ab kidhar gai

Yeh aur baat apna muqaddar bighar geya
Yeh toh huwa k zaest kisi ki sanwar gai

Kia pouchtey ho waqt taweel shab_e_feraq
Hans kar guzar gai kabhi ro kar guzar gai

Aashfetgi tabha ney shaeir bana deya
Kismat bhi aik mazakh ajab kar gai

Faasla....

“Faasla Itna Barhane Ki Zarurat Kya Thi,
,’
Tujhe Mujh Se Rooth Kr Janay Ki Zarurat Kya Thi,
,’
Ab Jo Mujh Se Rooth Kar Udaas Rehtay Ho,
,’
Apna Haath Mere Haath Se Chhurane Ki Zarurat Kya Thi
,’
Dunya Kab Kisi K Gham Ko Apna Gham
Samajhti Hay
,’
Tujhe Apna Gham Dunya Ko Dikhane Ki Zarurat Kya Thi,
,’
Main Aaj Tak Is Baat Ko Nahi Samajh Paya
=Mohsin=
,’
Jab Sath Tumhare Main Tha To Tum Ko Zamane Ki Zarurat Kya Thi.