Friday, August 26, 2011

Bharam uski nafrat ka........

Bharam Uski Nafrat Ka Aaj Aur Reh Jane Do
Ashkon Ko Aankhon Me Aaj Aur Reh Jane Do

Dharakhta To Dil Uska Bhi Hoga
Uski Be-Rukhi Ka Parda Aaj Aur Reh Jane Do

Bohat Hua Tamsha Bohat Jee Liye
Usko Mujh Se Ghafil Aaj Aur Reh Jane Do

Aaj To Raqeeb Bhi Mere Saare Khush Honge
Uske Chahney Walon Me Mera Naam Aaj Aur Reh Jane Do

Maaloom He Mujhe Uski Be-Niazi Ka Aalam
Mere Intizaar Ka Bharam Aaj Aur Reh Jane Do

Bas Aata Hi Hoga Qaasid Qaza Ka
Ye Darwaaza Khula Aaj Aur Reh Jaane Do

Kisi Ne To Kabhi Pukara Hoga Khurram
Who Baz-Gasht Hawa Me Aaj Aur Reh Jaane Do

Tuesday, August 23, 2011

Gham ki Barish....


Gham ki barish ne b tere gham ko dhoya nahi
Tu ne mujh ko khoo dia mein ne tujhe khoya nahi

nend ka halka gulabi sa khumar ankhon me tha
youn lga jese wo shab der tak soya nahiiii

janta hon ek ese shaks koo mein bhi faraz
Gham se pathar hogya magar royaa nahii ...

Saturday, August 20, 2011

Chor gaya...

Mere wajood ki mujh main talaash chor gaya
Jo poori na ho kabhi aesi ik aas chor gaya

Yahi karam nawazi us ki mujh pe kam hai kia
Ke khud tou door hai yaadein tou pass chor gaya

Jo khawhishein thi kabhi hasratoon main dhal gayi
Mere laboon pe wo aik lafz kaash chor gaya

Ye mera zarf hai ik rooz us ne mujh se kaha
Ke aam logoon main ik tujh ko khaas chor gaya

Baharoon se mujhe is liye tou nafrat hai
Inhi rutoon main mujhe wo udaas chor gaya.

Wo kitne itminan se thukra gayi mujhe....

Wo kitne itminan se thukra gayi mujhe
Aansu bana kay aankh se tapka gayi mujhe

Kaise ye rehbari thi ye kaisa fareb tha
...Manzil dikha kay raah se bhatka gayi mujhe

Khamoosh nigaahon say kahani suna gayi
Lafzoon kay hair phair main atka gayi mujhe

Mujhko bhi bachpan ka ek mazaq samajh kar
Choti si ek hansi main hi ura gayi mujhe

Do din main us k dil say mohabbat utar gai
Aur do hi din main yaad se mita gayi mujhe ...!

Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi ...

Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi
Phir rafta rafta tumse Mohhabbat si ho gayi

Shayed yeh taaza si judai ka tha assar
har shakal bus kuch teri surat si ho gayi

Ek naam jhilmilane laga dil ke taaq per
Ek Yaad jaise Baais-e-Raahat si ho gayi

Khud ko sajaa sanwar ke rakhne ka shok tha
Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi

Meine kuch beyaan safaayi mein nahin diya
Bus chup raha to khud hi wazahat si ho gayi

Ahl e dil bhi naqeeb hotay hain....

khawab kitnay ajeeb hotay hain...
in main sayay qareeb hotay hian...

neend main tum jaga k sottay ho...
bolo , aisay habib hotay hian....

khoff khatay hian apnay sayay say..
woh jo humran naseeb hotay hian...

kuch to rakhtay hian woh khabar apni...
tum say achay raqeeb hotay hain...

mot detay ho zindagi k evaz...
socho aisay tabeeb hotay hian...

har rakawat aboor kar dalaian...
ahl-e dil b naqeeb hotay hain...

Mohabat kam na hoge...

Setaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hogi
Yeh Nagmay Gungunanay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Main Teri Chaand Yadoon Ko Gazal Ka Roop Day Donga
Tumharay Aazmanay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Doaoon Kay Tabassum Say Ghataoon Ka Jegar Peglay
Mager Yoon Muskuranay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Nasheman Zindagi Ka Noor Say Bhi Khoob Roshan Hai
Sumander Kay Ltanay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Faraq o Wasal Ke Bateen Tu Touheen -e- Mohabbat Hain
Kese Kay Dorr Janay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Charaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Har Ghari Har Dam
Keh Teray Yoon Satanay Say Mohabbat Kam Na Hogi

Kabhi na ki......

hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki


kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki


mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii


chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii


her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii


ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii


ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii

Tasveer bana longa...

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa

jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa

Dosra sa lagta hay....

Badalta Waqt Kaa Aik Silsila Sa Lagta Hai
Ke Jab Bhi Dekhon Ose Dosara Sa Lagta Hai

Mara Husn Kisi Admii Kaa Husm Nahi
Kisi Buzurg Ki Sachchi Dia Sa Lagta Hai

Teri Nigaah Ko TamizRang-O- Nuur Kahan
Mujhe Tu Khun Bhee Rang-E-Hina Sa Lagta Hai

Damag-O-Dil Hon Ager Mutnain Tu Chaon
Hai Dhup ThapeDaLu Ka BHi Thandi Hawa Sa Lagta Hai

Woh Chhat Pe Agaye Betab Ho ke Akhir
Khuda Bhe Ajj Sharik-e- Dua Sa Lagta Hai

Tumhara Hath Jo Aya Hai Haat main Mare
Ab Aitabar Ka Musam Hara Sa Lagta Hai

Nikal Kar Dekho kabhe Nafraton Ke Pinjare Say
Tamam Shahar Ka Manzar Khula Sa Lagta Hai

Abhi Abhi....

Koi Dil ko choo kar guzar gaya abhi abhi
Khamosh Dil main woh shor kar gaya abhi abhi

Dil main sakoon tha us se milne se pehle
Dil ki khizaon pe koi bahar kargaya abhi abhi

Yeh kya hogaya hum ne kabhi socha na tha
Pursakoon raaton ko koi besakoon kargaya abhi abhi

Ab to har pal us hi ki yaadein hain
Mujhe apno se bhi koi paraya kar gaya abhi abhi

Hum to sapne pehle bhi dekhte the
In sapno ko koi Haseen kargaya abhi abhi

Maza hota....

Agar dard-e-muhabbat se na insaaN aashnaa hotaa
Na marne kaa mazaa hotaa, na jiine kaa mazaa hotaa

HazaaroN jaan dete haiN butoN kii be-vafaa’ii par
Agar un meN se ko’ii baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa

Agar dam bhar bhii miT jaatii Khalish-Khaar tamannaa
Dil hasrat talab ko apnii hastii hai gilaa hotaa

Ye maanaa be-hijaabaanaa nigaaheN qah’r kartii haiN
Magar husn-e-hayaa parvar kaa aalam duusraa hotaa

Chaha bohat hay....

MaiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
Magar us ne mujhe chaaha bahut hai

Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
Ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai

MaiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
Tumhaare saath ek lamhaa bahut hai

Meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
Ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai


Vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
Mujhe pehchaan le, itnaa bahut ha

Dil jalanay ki baat kertay ho...

Dil jalanay kee baat kartay ho
aashiyanay kee baat kartay ho

ham ko apnee khabar nahi yaroo
tum zamanay kee baat kartay ho

saree duniya kay ranj o gham day kar
muskuranay kee baat kartay ho

zikar maira sunaa tu chir kay kahaa
kiss dewanay kee baat kartay ho

hadsaa thaa guzar gayaa hogaa
kiss kay jaanay kee baat kartay ho

Guzar gaye....

Ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
Raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
Sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye

Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
Patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye

Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
Aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

Kya kya tavaqqoat thi aahoN se ai ‘ Kabir ’
Ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye

Friday, August 19, 2011

Nahi Milna....

To kya ye tay hai keh ab um'r bhar nahi milna
To phir ye um'r bhi kyun, tum se gar nahi milna

Chalo zamane ki khatir ye jab'r bhi seh lein
Keh ab kabhi jo milein, toot kar nahi milna

Ye kon chupke se tanhaiyon main kehta hai
mere baghair sakoon um'r bhar nahi milna

Rah-e-wafa ke musafir ko kon samjhaaye
keh is safar mein koi hum'safar nahi milna

Juda to jab bhi huye dil ko yoon laga jaise
keh ab gaye to kabhi loat kar nahi milna

Nikla tha.....

ajab junun-e-musafat main ghar se nikla tha
khabar nahi ke sooraj kidhar se nikla tha

ye kon phir se mujhe raston main chor gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha

ye teer dil main magar be'sabab nahi utra
koi to harf lab-e-chara'gar se nikla tha

mein raat toot kar roya to chain se soya
ke dil ka zeh'r meri chashm-e-tar se nikla tha

wo qais ab jise majnu pukarte hein log
meri tarha koi deewana ghar se nikla tha

Friday, August 12, 2011

Khabar....

kabhi kaha na kisi se tere fasane ko
na jane kaysay khabar ho ghi zamane ko

DUA bahar ki mangi to itne phool kihle
kahain jagah na rahi mere Asyane ko

meri lahd peh patnkon ka KOON hota hai
HAZOOR samah na laya karin JALANE ko

Suna hai ghair ki mahfal main tum na jao gaay
kaho to aj saja loon gareeb gaane ko ?

dabaa ke kabar main sab chal diye DUA NA SALAM
zara si deer main kya hoo gaya zamane ko

QAMAR zara bhi nhi tum ko khof -eraswaie
chale ho CHANDANI sab main unhain bulane ko

Kya....???

Gazal sun ker pareyshan ho gaey kya
kisi k dihan main tum kho gaey kya

ya bay-ganaravi pahlay nahi thee
kaho tum bhi kisi k ho gaey kya

na pursish ko na samjhanay ko aaye
hamaray yaar hum ko roo gaey kya

abhi kuch dair pahlay tak yahi thay
zamana ho gaya tum ko gaey kya

kisi taza rafaqat ki lalak hai
puranay zakham achay ho gaey kya

palat ker charahger kun aa gaey hain
shab-e-furqat k maray soo gaey kya

Faraz itna na itra hoslay per
isay bhoolay zamanay ho gaey kya

Tuu pass bhi ho to....

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai

‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai

tera dard...

jab tera dard mere sath wafa karta hai
aik samandar meri ankhon se baha karta hai

us ki baten mujhe khushbo ki tarha lagti hain
phool jese koi sehra mein khila karta hai

mere dost ki pehchan yehi kafi hai
wo har shakhs ko danasta khafa karta hai
aur to sabab us ki mohabbat ka nahen
baat itni hai wo mujh se jafa karta hai

jab khizan ayee to laut aye ga wo bhi faraz
wo baharon mein zara kam hi mila karta hai

Yaad....

Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn

Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

chiraaG ....

tere hote hue mahafil me.n jalaate hai.n chiraaG
log kyaa saadaa hai.n suuraj ko dikhaate hai.n chiraaG

apanii maharuumiyo.n pe sharmindaa hai.n
Khud nahii.n rakhate to auro.n ke bujhaate hai.n chiraaG

bastiyaa.N chaa.Nd sitaaro.n pe basaane vaale
kurraa-e-arz bujhaate jaate hai.n chiraaG

kyaa Khabar hai un ko ke daaman bhii bha.Dak uThate hai.n
jo zamaane kii havaao.n se bachaate hai.n chiraaG

aisii taariikiiyaa.N aa.Nkho.n me.n basii hai.n 'Faraz'
raat to raat ham din ko jalaate hai.n chiraaG

shaayad ....

phir usii raahguzar par shaayad
ham kabhii mil sakeN, magar shaayad

jaan pehchaan se bhii kyaa hogaa
phir bhii ai dost Ghaur kar, shaayad

muntazir jin ke ham rahe un ko
mil gaye aur ham-safar shaayad

jo bhii bichhRe haiN kab mile haiN “Faraz”
phir bhii tuu intizaar kar shaayad

aankhon main bas gayaa phir tuu

huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu

karon na yad agar

karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use

wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use

ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use

magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use

vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use

jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'
ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

Aankhon mein sitaare

Aankhon mein sitaare to kayi shaam se utrey
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utrey

Kuch rang to ubhrey teri gul pairhani ka
Kuch zang to aayina-e-ayyam se utrey

Hotey rahey dil lamha ba lamha teh-o-bala
Woh zeena ba zeena barey araam se utrey

Jab tak tere qadmon mein farukash hain sabukash
Saqi khat-e-baada lab-e-jaam se utrey

Be-tama nawazish bhi nahi sang dilon ki
Shaayed woh mere ghar bhi kisi kaam se utrey

Auron ki qaseeday faqat aaward they janaan
Jo tujh pe kahey shair woh ilhaam se utrey

Ae jaan-e-Faraz ae mere har dukh ke maseeha
Har zeher zamaane ka tere naam se utrey!

Is Dar Pe Thikana Kabhi

Is Dar Pe Thikana Kabhi Uss Raah Main Daira
Hum Khana Badoshon Ka Yehi Sham Sawera

Be Mohri Duniya Ka Gila Hai Tere Lab Pe
Ab Kaisay Bataon Tujhe Main Bhi Nahi Tera

Woh Char Qadam Hai Yeh Kiran Ham Safri Ki
Phir Aagay Wohi Shahr-e- Judai Ka Andhera

Hain Bhi Jo Tank Khoo To Zamanay Ke Liye Hain
Aye Jaan Kabhi Hum Ne Tera Farman Nahi Phera

Ikk Musht-e- Ghubar Aur Kaf-e- Moj Hawa Par
Chaha To Samaita Hai Na Chaha To Bakhaira

Mil Jaye Jo Ghurbat Main Faraz Ab Wohi Hamdam
Ho Jaye Jahan Sham Wahin Rain Basaira

BY: AHMAD FARAZ

Thursday, August 11, 2011

jo ho sakaa na judaa mujh se

jo ho sakaa na judaa mujh se door jaa kar bhii
maiN mutma'in hooN use haath se gaNvaa kar bhi

agarche vajah-e-azeeyat haiN uski yaadeiN bhi
milaa hai chain magar kab use bhulaa kar bhi

ugaa diyaa hai to kar sabz pairahan bhii ataa
maiN yooN to raazii hooN baNjar zameen paa kar bhi

jo saNg lagtaa thaa niklaa vo ru'ii kaa gaalaa
maiN muNtashir na huaa uski chouT khaa kar bhi

bujhaaye bujh nahiiN saktii badan kii aag kabhii
ki ab to dekh liyaa KhwaahisheN dabaa kar bhi

vah chashm-e-tar thii ki kaarooN ka Khazaana bhi
rahi bhari-ki-bhari sad-guhar luTaa kar bhi


zameer ki jo adaalat meN aagaye ''Khalid''
vo surKharoo na huaa Khoon meiN nahaa kar bhii

Friday, August 5, 2011

usay khud se juda rakha NAHI hay

usay khud se juda rakha nahi hay
wo mera ho ke bhii mera nahi hay

jisay khone ka hay dar mujh ko itna
usay mein nay abhii paya nahi hay

zamanay ko bhala badle ga wo kya?
ke jis ka khud pe bas chalta nahi hay

terii yaadon se raushan hay mera dil
ye wo sooraj hay jo dhalta nahi hay

merii ankhon ka ye darya ajab hay
ke behta hay to phir thamta nahi hay

khushii ka ho ya koi gham ka lamha
guzar jaata hay kyun rukta nahi hay

naqoosh ab zehn se mitne lagay hein
bohat din se usay dekha nahi hay

suna hay phool ab khilte nahi hein
to kya khul kar wo ab hansta nahi hay

nagar choRa hay jab se us ghazal ne
koii shayer ghazal kehta nahi hay

sabeeh is shehr mein chehre bohat hein
magar koii bhii us jaisa nahi hay

hamaara haal kab poocha gaya hay?

hamaara haal kab poocha gaya hay?
hamain hasrat say bas dekha gaya hay

kisii ko khud say baRh kar chahnay ka
muhabbat naam kyun rakha gaya hay?

woh kal ho ga jahan ki thokaron main
abhi baRh kar jisay chooma gaya hay

yahaan jis nay bhi achay sher likhay
ussii ka raasta roka gaya hay

maire zakhmon say andaza laga lo
ke mujh'ko kis qadar chaha gaya hay

Sab ne muj'hi ko dar'ba'dar dekha

Sab ne muj'hi ko dar'ba'dar dekha
Be'ghari ne mera hi ghar dekha

Band aankhon se dekh li duniya
Hum ne kya kuch na dekh kar dekha

Door tak le gaii talab uss ki
Naqsh-e-pa ko bhi reh'guzar dekha

Khud bhi tasweer ban gaein nazrain
Aik soorat ko iss qadar dekha

Kahein moj-e-namu ruki to nahi
Shaakh se phool toR kar dekha

Yaad apni uRaanain aaiin hain
Jab bhi koi shikasta'par dekha

Hum ne husn-e-hazaar manzar ko
Kitni nazaron se ek nazar dekha

Ab namu paein ge dilon ke zakh'm
Hum ne ek phool shaakh par dekha

Sab nahi dete phal magar Tabish
Saaya'daar aik aik shajar dekha

rat'jagon ke sehra main khwaab jab ujaR jaain

rat'jagon ke sehra main khwaab jab ujaR jaain tum udaas mat hona
zindagii ke maile main hum agar bichaR jaain tum udaas mat hona

jin pe naam likhe hoon un ujaR shakhon per kab bahar aati hai
aarzuu ki tehni se jab gulaab jhaR jaain tum udaas mat hona

jaan, kya zaroori hai dasht e naa'rasaai main ik dua bhi poori ho?
hum agar riwaajon ki sooliyon pe gaR jaain tum udaas mat hona

waqt ik darinda hai aur hum sabhi is ki dehshton ki zad main hain
jab ye be'sakoon lamhe apni zid pe aR jaain tum udaas mat hona

jab'r ki fizaaon main muskura ke ji laina ye bhi ik ibaadat hai
chahe karb ke saye mere kad se baRh jaain tum udaas mat hona

kuch bhi ho mager apne dil'nashiin tabassum se zab't ka bharam rakhna
chaahe hum bichaR jaain kyun na hum ujaR jaain tum udaas mat hona

Bas ik lafz-e-mohabbat tha jo bar'jasta nikla

Jis ko laine taajiron ka dasta nikla
Bikne aaya to tawaqo se bhi sasta nikla

Apne seene mein chupaye huye teri yadein
Ham pe har shakhs aawazein kasta nikla

Ham ne har baat bohat soch samajh kar ki hai
Bas ik lafz-e-mohabbat tha jo bar'jasta nikla

Wo jis ne paaon tale kitne dil masal daale
Kal wohi shakhs mohabbat ko tarasta nikla

Teri muskaan se mansoob rahi rahat meri
Mera har gham tere gham se pai'wsta nikla

Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai...

Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai,
Jaise Veeran Ho Reh-Guzare-Hayat,
Jaise Khwaabo Ke Rang Pheeke Ho'n,
Jaise Lafzo Se Mout Risti Ho,
Jaise Saanso Ke Taar Bikhre Ho'n,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai...

Jaise Khushbu Nahi Ho Kaliyo Me,
Jaise Soona Para Ho Shehr-e-Dil,
Jaise Kuch Bhi Nahi Ho Galiyo Me,
Jaise Khushbu Se Dushmani Ho Jaaye,
Jaise Jazbo Se Aashnaayi Na Ho,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai..

Jaise Ek Umr Ki Musafat Par,
Baat Kuch Bhi Samajh Na Aayi Ho,
Jaise Chup Chaap Ho Aarzoo ke Shajar,
Jaise Ruk Ruk ke Saans Chalti Ho,
Jaise Be-Naam Ho Dua Ka Safar,
Jaise Qisto me Umar Kat-ti Ho,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai...

Jaise Khouf ke Jazeere Me,
Koi Aawaaz De ke Chup Jaaye,
Jaise Ha'nste Huwe Achanak Hi,
Gham ki Purva Se Aankh Bhar Aaye,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai...

To mukhtasar se safar me adawate kaisi

Dikha ke neecha kisi ko hidayaten kaisi
Jata ke chhota kisi ko mahbbaten kaisi

Dilo ko dena khushi bhi sawab hota hai
Dukha ke dil ko kisi ke ibaadate kaisi

Paraye dard pe aansu bhi kuch bahaya karo
Khud apne dard pe rone ki aadate kaisi

Ye zindagi bhi khuda ki ek aazmaeesh hai
To zindagi ke gamo ki shikayate kaisi

Garib logo ko apna banaye rakhiyega
Faqat ameero se milna sharafte kaisi

Hamesha darna bado se darana chhoto ko
Hamari duniya ki yeh hain rawayate kaisi

Buraeeyon ko aur aibo ko doondna sab me
Hamaare khoon me aayi hain khaslate kaisi

Hai zindagi ka safar to nibhana rishto ka
Zara si baat pe aapas me nafrate kaisi

Bohat hi thodi si hoti hai zindagi asif
To mukhtasar se safar me adawate kaisi

By: Allama Iqbal

Barson kai bad daikha ..

Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa...
Ab Zehen Main Nahi Hay, Pur naam tha bhala sa.....

Abro khichay khichay say,Ankhain jhuky jhuky si..
Batain ruky ruky si, Lehja thaka thaka sa...

Khuabon main khwab usska, Yadon main yad usski...
Nendon main ghul gaya ho,Jaysay keh Rut-jaga sa...

Pehlay bhe log aye, kitnay hi zindagi main...
lekin vo har tarah say, oron say tha juda sa..

Aglee Mohabaton nay, Woh NaMuradyan dee theen..
Taza Rifakaton say, Kuch Dil tha dara dara sa...

Kuch Ye ke moddaton say ,Ham Bhi nahi they roayee..
kuch zeher main bujha tha ehbaab ka dilasa...

Ab Sach kahain to yaro,Humko khabar nahi thee...
Ban jayi ga Kayamat, ik Wakiya Zara Sa...

Taiwar Bay-Rukhi kay Andaaz Dosty key...
Vo ajnabi tha laikin, lagta tha aashna sa..

Hum Dusht they ke dariya, ham zeher they keh amrit...
Nahak tha za'am humko, jub Vo nuhe tha Piyasa....

Aawaaz de rahi hai ye kis ki nazar mujhe?

Aawaaz de rahi hai ye kis ki nazar mujhe?
Shayed mile kinara wahin doob kar mujhe

Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gaii
Khone ke baad mil gaii apni khabar mujhe

Har har qadam pe saath hoon saya hoon main tera
Ay be'wafa! dikha to zara bhool kar mujhe

Dunya ko bhool kar teri dunya main aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar mujhe?

Dunya ka har nazara nigahon se cheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekh kar mujhe

kitni weeran teri yadon ki gali hai ab ke

ab'r barsa, na hawa taiz chali hai ab ke
kitni weeran teri yadon ki gali hai ab ke

subha ki dhoop utar aaii mere balon main
shab dhali hai ke meri um'r dhali hai ab ke

kya kahon kitne bahanon se bhulaya hai use
ye qayamat baRi mushkil se tali hai ab ke

ya meri ankh ke kashkol main ansoo chamka
ya andhere main koii shamma jali hai ab ke

kis ko fursat hai dhuan daikhne jaye Mohsin
jhompaRi shehar say kuch door jali hai ab ke

Kinarey chhoot jatey hain

terey ik derd aagey gham , yun sarey chhoot jatey hain
k suraj jab ubherta hay , to taarey chhoot jatey hain

keho ! rah-e- mohabbat main kadry qeemat b hay koi
kaha , iss mohabbat main piyarey chhoot jatey hain

takeed-e-zabt se pehley kabhi tum yeh b socho to
k kion yeh hosley humarey akser chhoot jatey hain

phir uss k baad katib ne faqat likha " judayee " or
yun hathon se merey , yeh hath tumharey chhoot jatey hain

ik toota shakh ka ptta bary hasrat se kehta hay
k safr-e-zeesat main akhir saharey chhoot jatey hain

aseer-e ishq hum thehrey , humain fiker-e-jahan hi kia
gham-e-janan main to sood-o-khasarey chhoot jatey hain

mery sehranawerdi main hr shab berpa hay toofan-e-Ashk
k aankhain phhoot ti hain or kinarey chhoot jatey hain

Kuch is ada sey miltey ho

kuchh is adaa se milte ho janaa'N kabhii kabhii
kaaNTe bhii lagane lagate hai'n kaliyaa'N kabhii kabhii

shaayad ke naa Khudaa ko bhii logo Khabar na thii
ruKh apnaa morh leta hai tuufaa'N kabhii kabhii

kuchh yuu'N lagaa k husn sitaaro'n mai ghir gayaa
dekhii jo un kii maa.Ng mai afshaa'N kabhii kabhii

dil par lagii jo chauT to jii bhar ke ro liye
yuu'N bhii kiyaa hai dard kaa daramaa'N kabhii kabhii

naadaa'N ho is qadar tumhe ye bhii Khabar nahii'n
chaltaa hai masalehat se bhii insaa'N kabhii kabhii

tum un ko kyaa kahoge jo jhuuThii anaa ke saath
dekhe gaye libaas mai uriyaa'N kabhii kabhii

iisaar mai vafaa mai aqiidat mai pyaar mai
'Ejaz' vo lagaa hai numaayaa'N kabhii kabhii

Mere Marne Ke Baad Meri Ye Kahani Likhna

Mere Marne Ke Baad Meri Ye Kahani Likhna,
Kaisy huwi Barbaad Meri Ye Jawani Likhna,

Ye Likhna ke Use Intezar Boht tha Kisi ka,
Aakhri Saans ki kaisy huwi Rawani Likhna,

Jo Qasme'n khaayi thi Us ne Pyaar me,
Un Qasmo'n ka kya hwua Us par Meharbani Likhna,

Ye bhi Likhna ke Us ke Hont khushi ko Taras Gaye the,
KITNA Barsa Un Aankho se Paani Likhna,

OR ye bhi Likhna ke Dua Deta tha Tujhe,
BAHAR the kafan se Haath ye NISHANI Likhna....

Main Khwaab Ban ke Use

Main Khwaab Ban ke Use Neend Me Dikhaayi Doo'n,
Wo Jo Mera Qurb Chahe To Main Us Ko Judaayi Doo'n,

Kuch Is Tarah Mujhe Chahe Ke Har Ghari,
Main Dharkano Ki Tarah Use Qalb Me Sunaayi Doo'n,

Tarap Tarap Kar Mujhe Maangta Rahe Lekin,
Siwaaye Apne Main, Use Saari Khudaayi Doo'n,

Kitaab Khol Ke Dekhe To Mera Chehra Ho,
Main Warq Warq Me Usko Dikhaayi Doo'n....

daulat se husn, husn se daulat khareediye

jee chahta hai, kis ne kaha, mat khareediye
daulat se husn, husn se daulat khareediye

kuch log jee rahe hain sharaafat ko bech kar
thoRii bahut unhein se sharaafat khareediye

phaila hai kaaro-baar-e-muravvat, so aap bhii
sab kii tarah kisii kii zaroorat khareediye

apnii pasand apne muqaddar kii baat hai
sub'h-e-azal se sham-e-qayaamat khareediye

gehraaiyon kii fikr men kyun mubtala hain aap
likhiye ghazal awwaam pe, shoharat khareediye

kahte hain jisko she'r duaa ka muqaam hai
ruswaaiyaan kamaaiye, ibrat khareediye

aankhen rahiin to rang bahut, roshanii bahut
ab ho sake to parda-e-ghaflat khareediye

kyun aap sharm'saar hain apne wajood se
sach boliye, jahaan kii adaawat khareediye

dunya ke rog jheliye kamre men baith kar
khiRkii ke paas jaaiye, hasrat khareediye

umr-e-azeez, waqt nahiin mol tol kaa
baazar uth chuka, ajii hazrat, khareediye

be'rang hai hikaayat-e-khoon-e-jigar Khizaan
khoon-e-jigar se rang kii qeemat khareediye

Mahboob Khizaan

tarah tarah kii museebat aur ek jaan ke liye

tarah tarah kii museebat aur ek jaan ke liye
kahaan pe bhej diya tu ne imtehaan ke liye

har ek raasta masdood hai baghair-e-junoon
khirad hai koh-e-garaan azm-e-naujawaan ke liye

ajeeb cheez hai qismat kii naa'rasaai bhii
qadam liye bhii to kambakht paasbaan ke liye

wo saath choR ke baithein, jo saath chal na sakein
balaa-e-jaan na banein poore kaarwaan ke liye

hamaare naam se surkhii-e-daastaan na sahii
hamaara khoon to haazir hai daastaan ke liye

qayood-e-ishq kii majbooriyaan! are taubaa
zabaan rakh ke bhii tarsa kiye zabaan ke liye

khata muaf ijazat mile to kuch poochoon
akele raat mein nikle ho kahaan ke liye?

merii nahii mere sajdon kii aabroo rakh le
ke mera sar nahii auron ke aastaan ke liye

Nazeer faasla-e-umr, ab tamaam huaa
wahaan kii fikr karo aaye ho jahaan ke liye

Nazeer Banarasi

Ab Tu Hum Hain Jagnay Walay

Titliyaann jugnoo sabhi hongay magar dekhay ga kaun
Hum saja bhi lein agar deewar-o-dar dekhay ga kaun

Ab tu hum hain jagnay walay teri khatir yahaan
hum na hongay tu tere shaam-o-sehar dekhay ga kaun

jis ki khatir hum sakhan sachayi kay rastay chalay
jab wahi usko na dekhay tu hunar dekhay ga kaun

sab nay apni apni ankhon per naqaabein dal li
jo lih hai sheher ki deewaar per dekhay ga kaun

bay sitarah zindagi kay ghar main ab bhi raat ko
ik kiran teray khayalon ki magar dekhay ga kaun

Tu ne mujh ko kho diya

neend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha
yoon laga jaise wo shab ko dair tak soya nahin

har taraf deewar-o-dar aur un mein ankhon ke hujoom
keh sake jo dil kee halat wo lab-e-goya nahin

janta hoon ek aise shaks ko mein bhee munir
sham se pathar ho gya lekin kabhi roya nahin

Wednesday, August 3, 2011

Wo Kyoon gaya hay???

Rukhsat Hua To Aankh Mila Kar Nahin Gaya.,
Woh Kyun Gaya Hai Yeh Bhi Bata Kar Nahin Gaya


Yoon Lag Raha Hai Jaise Abhi Laut Aaye Ga
Jaate Hue Charaagh Bujha Kar Nahin Gaya


Shayad Woh Mil Hi Jaaye., Magar Justjoo Hai Shart.,
Woh Apne Naqsh-E-Paa Ko Mita Kar Nahin Gaya.,


Har Baar Mujh Ko Chord Gaya Izteraab Mein.,
Laute Ga Kab., Kabhi Woh Bata Kar Nahin Gaya


Rehne Diya Na Us Ne Kisi Kaam Ka Mujhe
Aur Khaak Mein Bhi Mujh Ko Mila Kar Nahin Gaya. .

Nahi Baqi...

Himmat-e- iltaza nahin baaqi
jabt ka honsla nahin baaqi.

Ek teri deed chin gayi mujhse
verna duniya mai kya nahin baaqi.

Apni mashqe sitam se haath na khench,
mai nahin ya wafa nahin baaqi.

Tere chashm-e-alam-nawaz ki khair
( Teekhi nazer)
Dil main koi gila nahin baaqi.

Ho chuka khtam ahde-hizro-visaal
(judayi ur milan)
Zindgi mai ab kya raha baaqi.

Teray Khayal k Mausam...

Siyaah hijr gaya , zard intezaar gaye
kisi ka dard gaya dard k hisaar gaye

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gaye

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gaye

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larhey jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gaye

bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gaye

kisi k bhaijey hoye aa gaye thay dunia main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gaye

na chaand atqa kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gaye!!

Ho jati...

Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati


Us Nay Toray Hain Eraday Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati


Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shakan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati


Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati


Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsen
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati

Meri Ankhain....

Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN
meri aankhaiN me're dushman ko laga di jaiN

be hunr loog kahaN harf ki sachai kahaN
ab kitabain kisi darya main baha di jain

un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
ye shabeehaiN sir e aaina ganwa di jaiN

ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunr
ishq main tuhmataiN aaiN to bhula di jaiN

ya to khursheed chamakta rahay peshaani main
ya lakeeraiN me'ry mathy ki mitta di jaiN

kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki Saleem
yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN......

Tarq e Talluq

tark e ulfat ka bahana chaahay,
wo mujhay chhor k jana chaahay,

waqt deewaar banaa betha hai,
wo agar laut bhi aana chaahay,

dekhna dil ki azeeat talbi,
phir usi shehar ko jana chaahay.....

Wehshat...

Zikr e shab e firaaq say wehshat usay bhi thee,
meri tarah kisi say muhabbat usay bhi thee,

mujh ko bhi shoq tha naey chehron ki deed ka,
rsta bdal k chalnay ki aadat usay bhi thee,

wo mujh say barh k zabt ka aadi tha,g gaya,
warna her aik saans qayamat usay bhi thee,

sunta tha wo bhi sub say purani kahaniyan,
shayad rafaaqaton ki zaroorat usay bhi thee.....

Kahan Jatay..??

Ager Ghum Na Milta Tu Barbadi Kay Afsanay Kaha Jatay
Dunya Ager Chaman Hotay, Tu Weeranay Kaha Jatay

Acha Howa Keh Tum Gair Hi Niklay
Ager Sabhi Apnay Hotay Tu Beganay Kaha Jatay

Dua Karo Humay Ham Nay Khudi Mita Kar, Mohabbat Seekha De Tumhay
Aaj Shama Ager Na Jalatay Tu Parwanay Kaha Jatay

Acha Howa Keh Tum Hi Nay Ghum Day Diya Yeh Tumhara Ahsaan
Warna Dunya Kay Aagay Haath Phelanay Hum Kaha Jatay

Sochain gay...

kion tu acha lagta hai, waqt mila to sochenge
tujh mei kia kia dekha hai waqt mila to sochenge

sara sheher shanasai ka, dawedar to hai lekin
kon hamara apna hai, waqt mila to sochenge

hum ne usko likha tha, kuch milne ki tadbeer karo
us ne likh ker bheja hai, waqt mila to sochenge

mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mei
kon tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge

ya to apne dil ki mano, ya phir dunia walon ki
mashwara uska acha hai waqt,waqt mila to sochenge

Teri Aahat per...

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per I Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Nahi Likhna...


Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna

Purani rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna
...
Ana se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe khara hoon
Mujhey fateh nahi likhna mujhey mohra nahi likhna

Tumhari aankh main agar main kabhi chup chaap jal jaow
Tum apni aankhon main laiken mera sadma nahi likhna

Gawahi apnay dil se lo tumhara dil kiya kehta hai
Mujhey jhoota nahi likhna mujhey sacha nahi likhna

May uski yaad may gum hoon ke apne aap may gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey tanha nahi likhna

May apney lafzoon se shohrat tumhey de jaonga ik din
Mujhey mashhoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi us ko mitaa na chaho..na mittay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dardlikh dena magar gehra nahi likhna !

Tum Ho....

Mera Saawan B Tum Ho Meri Pyas B Tum Ho
Sehra Ki Bahon Mein Chupi Aas B Tum Ho


Tum Yun To Bht Door Bht Door Ho Mujh Sy
Ehsaas Ye Hota Hy Mery Paas B Tum Ho


Hr Zakham Ki Aghosh Mein Hy Dard Tumhara
Hr Dard Mein Taskeen Ka Ehsaas B Tum Ho


Kho Jao To Veeran C Ho Jaati Hein Rahein
Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsaas B Tum Ho


Likhti Hon To Tum Hi Utarty Ho Qalam Sy
pardhti Hon To Lehja B Tum,Aawaz B Tum Ho

Moam ki terha...

Moam ki tarha pighaltey hoye dekha usko,
Rut jo badli tau badaltey hoye dekha usko,

Wo jo kantoon ko bhi narmi se chua karta tha,
hum ne phuloan ko masaltey hoye dekha usko

janey kis gham ko chupaney ki tamana hey usey,
Aj her bat pe hanstey hoye dekha usko,

janey wo mangney jata hey dua bhi kasee,
Hath uthatey he sisaktey hoye dekha usko......

pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya

pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
use ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya

mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari
wo jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya

dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
kahin jawe us ka na dil dahal meri lash par se hata diya

meri ankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha k uth k chal
dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le k jaga diya

zara un ki shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
mere piche aye dabe-dabe mujhe sanp kah k dara diya

main ne dil diya main ne jan di magar ah! tune na qadr ki
kisi bat ko jo kaha kabhi use chutkiyon mein ura diya

!!!...Khatt likh raha hoon...!!!

Khatt likh raha hoon ehd-e-mohabbat ko tor k
Kaaghaz pe aansuon ki jaga chor chor k

Tu fikrmand q hai mere dil ko tor k...?
Main khud hi ja rah hoon tera sheher chor k

Kal raat likhnay betha ghazal tere naam ki
Alfaaz saamnay thay kharay haath jor kar

Main jisme dekhta tha tera aks "MOHSIN"
Tu nay hi rakh diya wo aayina tor k

Yaqeen aata nahi dil ko...!!!

Yaqeen aata nahi dil ko k aisa ho bhi sakta hai...!
Hamara haal-e-dil sun kar wo zaalim ro bhi sakta hai...!

Kabhi insaan akela ho k bhi tanhaa nahi hota
Sar-e-mehfil kabhi bethay bithaaye kho bhi sakta hai...!

Taajjub q hai tuko hamari bay.gunaahi par...?
Karam ka aik qatra daagh-e-daaman dho bhi sakta hai...

Kabhi insaan ko neend aati nahi phoolon k bistar par...
Kabhi patthar pe sar rakh k mazay se so bhi sakta hai...

Wo kehtay hain teri khaatir sitaaray tor laayen gay...!
Ba.zaahir yun nahi hota...magar yun ho bhi sakta hai...!!!

Ghazal

Ghaao ginty na kabhi zakhm'Shumari krty.
Ishq me ham bhi agr waqt'Guzari karty.

Tujh me to khair mohabat k thy pehlu hi boht.
Dushman-e-ja'n bhi agr hota to yari krty.

Ho gay dhool tery rasty me bethy bethy.
Ban gay aks! teri aaiena'Dari krty.

Waqt aya hy judaai ka to ab sochty hain.
Tujhy aasaab pe itna bhi na taari krty.

Hoty sooraj to hamen shah e-Falak hona tha.
Chaand hoty to Sitaron pe sawari krty.

Kabhi ik pal na mila takht-e-takhayul warna..
Teri har soch ko ham raaj'Kumari krty.

Akhri daao lagana nhi aaya ham ko.
Zindgi beet gai khud ko juwaari krty..