To kya ye tay hai keh ab um'r bhar nahi milna
To phir ye um'r bhi kyun, tum se gar nahi milna
Chalo zamane ki khatir ye jab'r bhi seh lein
Keh ab kabhi jo milein, toot kar nahi milna
Ye kon chupke se tanhaiyon main kehta hai
mere baghair sakoon um'r bhar nahi milna
Rah-e-wafa ke musafir ko kon samjhaaye
keh is safar mein koi hum'safar nahi milna
Juda to jab bhi huye dil ko yoon laga jaise
keh ab gaye to kabhi loat kar nahi milna