phir usii raahguzar par shaayad
ham kabhii mil sakeN, magar shaayad
jaan pehchaan se bhii kyaa hogaa
phir bhii ai dost Ghaur kar, shaayad
muntazir jin ke ham rahe un ko
mil gaye aur ham-safar shaayad
jo bhii bichhRe haiN kab mile haiN “Faraz”
phir bhii tuu intizaar kar shaayad