Aankhon mein sitaare to kayi shaam se utrey
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utrey
Kuch rang to ubhrey teri gul pairhani ka
Kuch zang to aayina-e-ayyam se utrey
Hotey rahey dil lamha ba lamha teh-o-bala
Woh zeena ba zeena barey araam se utrey
Jab tak tere qadmon mein farukash hain sabukash
Saqi khat-e-baada lab-e-jaam se utrey
Be-tama nawazish bhi nahi sang dilon ki
Shaayed woh mere ghar bhi kisi kaam se utrey
Auron ki qaseeday faqat aaward they janaan
Jo tujh pe kahey shair woh ilhaam se utrey
Ae jaan-e-Faraz ae mere har dukh ke maseeha
Har zeher zamaane ka tere naam se utrey!