Friday, August 5, 2011

To mukhtasar se safar me adawate kaisi

Dikha ke neecha kisi ko hidayaten kaisi
Jata ke chhota kisi ko mahbbaten kaisi

Dilo ko dena khushi bhi sawab hota hai
Dukha ke dil ko kisi ke ibaadate kaisi

Paraye dard pe aansu bhi kuch bahaya karo
Khud apne dard pe rone ki aadate kaisi

Ye zindagi bhi khuda ki ek aazmaeesh hai
To zindagi ke gamo ki shikayate kaisi

Garib logo ko apna banaye rakhiyega
Faqat ameero se milna sharafte kaisi

Hamesha darna bado se darana chhoto ko
Hamari duniya ki yeh hain rawayate kaisi

Buraeeyon ko aur aibo ko doondna sab me
Hamaare khoon me aayi hain khaslate kaisi

Hai zindagi ka safar to nibhana rishto ka
Zara si baat pe aapas me nafrate kaisi

Bohat hi thodi si hoti hai zindagi asif
To mukhtasar se safar me adawate kaisi

By: Allama Iqbal