Friday, August 5, 2011

daulat se husn, husn se daulat khareediye

jee chahta hai, kis ne kaha, mat khareediye
daulat se husn, husn se daulat khareediye

kuch log jee rahe hain sharaafat ko bech kar
thoRii bahut unhein se sharaafat khareediye

phaila hai kaaro-baar-e-muravvat, so aap bhii
sab kii tarah kisii kii zaroorat khareediye

apnii pasand apne muqaddar kii baat hai
sub'h-e-azal se sham-e-qayaamat khareediye

gehraaiyon kii fikr men kyun mubtala hain aap
likhiye ghazal awwaam pe, shoharat khareediye

kahte hain jisko she'r duaa ka muqaam hai
ruswaaiyaan kamaaiye, ibrat khareediye

aankhen rahiin to rang bahut, roshanii bahut
ab ho sake to parda-e-ghaflat khareediye

kyun aap sharm'saar hain apne wajood se
sach boliye, jahaan kii adaawat khareediye

dunya ke rog jheliye kamre men baith kar
khiRkii ke paas jaaiye, hasrat khareediye

umr-e-azeez, waqt nahiin mol tol kaa
baazar uth chuka, ajii hazrat, khareediye

be'rang hai hikaayat-e-khoon-e-jigar Khizaan
khoon-e-jigar se rang kii qeemat khareediye

Mahboob Khizaan