usay khud se juda rakha nahi hay
wo mera ho ke bhii mera nahi hay
jisay khone ka hay dar mujh ko itna
usay mein nay abhii paya nahi hay
zamanay ko bhala badle ga wo kya?
ke jis ka khud pe bas chalta nahi hay
terii yaadon se raushan hay mera dil
ye wo sooraj hay jo dhalta nahi hay
merii ankhon ka ye darya ajab hay
ke behta hay to phir thamta nahi hay
khushii ka ho ya koi gham ka lamha
guzar jaata hay kyun rukta nahi hay
naqoosh ab zehn se mitne lagay hein
bohat din se usay dekha nahi hay
suna hay phool ab khilte nahi hein
to kya khul kar wo ab hansta nahi hay
nagar choRa hay jab se us ghazal ne
koii shayer ghazal kehta nahi hay
sabeeh is shehr mein chehre bohat hein
magar koii bhii us jaisa nahi hay