Sab ne muj'hi ko dar'ba'dar dekha
Be'ghari ne mera hi ghar dekha
Band aankhon se dekh li duniya
Hum ne kya kuch na dekh kar dekha
Door tak le gaii talab uss ki
Naqsh-e-pa ko bhi reh'guzar dekha
Khud bhi tasweer ban gaein nazrain
Aik soorat ko iss qadar dekha
Kahein moj-e-namu ruki to nahi
Shaakh se phool toR kar dekha
Yaad apni uRaanain aaiin hain
Jab bhi koi shikasta'par dekha
Hum ne husn-e-hazaar manzar ko
Kitni nazaron se ek nazar dekha
Ab namu paein ge dilon ke zakh'm
Hum ne ek phool shaakh par dekha
Sab nahi dete phal magar Tabish
Saaya'daar aik aik shajar dekha