Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai,
Jaise Veeran Ho Reh-Guzare-Hayat,
Jaise Khwaabo Ke Rang Pheeke Ho'n,
Jaise Lafzo Se Mout Risti Ho,
Jaise Saanso Ke Taar Bikhre Ho'n,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai...
Jaise Khushbu Nahi Ho Kaliyo Me,
Jaise Soona Para Ho Shehr-e-Dil,
Jaise Kuch Bhi Nahi Ho Galiyo Me,
Jaise Khushbu Se Dushmani Ho Jaaye,
Jaise Jazbo Se Aashnaayi Na Ho,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai..
Jaise Ek Umr Ki Musafat Par,
Baat Kuch Bhi Samajh Na Aayi Ho,
Jaise Chup Chaap Ho Aarzoo ke Shajar,
Jaise Ruk Ruk ke Saans Chalti Ho,
Jaise Be-Naam Ho Dua Ka Safar,
Jaise Qisto me Umar Kat-ti Ho,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai...
Jaise Khouf ke Jazeere Me,
Koi Aawaaz De ke Chup Jaaye,
Jaise Ha'nste Huwe Achanak Hi,
Gham ki Purva Se Aankh Bhar Aaye,
Tum Nahi Ho To Aisa Lagta Hai...