tarah tarah kii museebat aur ek jaan ke liye
kahaan pe bhej diya tu ne imtehaan ke liye
har ek raasta masdood hai baghair-e-junoon
khirad hai koh-e-garaan azm-e-naujawaan ke liye
ajeeb cheez hai qismat kii naa'rasaai bhii
qadam liye bhii to kambakht paasbaan ke liye
wo saath choR ke baithein, jo saath chal na sakein
balaa-e-jaan na banein poore kaarwaan ke liye
hamaare naam se surkhii-e-daastaan na sahii
hamaara khoon to haazir hai daastaan ke liye
qayood-e-ishq kii majbooriyaan! are taubaa
zabaan rakh ke bhii tarsa kiye zabaan ke liye
khata muaf ijazat mile to kuch poochoon
akele raat mein nikle ho kahaan ke liye?
merii nahii mere sajdon kii aabroo rakh le
ke mera sar nahii auron ke aastaan ke liye
Nazeer faasla-e-umr, ab tamaam huaa
wahaan kii fikr karo aaye ho jahaan ke liye
Nazeer Banarasi