Mere wajood ki mujh main talaash chor gaya
Jo poori na ho kabhi aesi ik aas chor gaya
Yahi karam nawazi us ki mujh pe kam hai kia
Ke khud tou door hai yaadein tou pass chor gaya
Jo khawhishein thi kabhi hasratoon main dhal gayi
Mere laboon pe wo aik lafz kaash chor gaya
Ye mera zarf hai ik rooz us ne mujh se kaha
Ke aam logoon main ik tujh ko khaas chor gaya
Baharoon se mujhe is liye tou nafrat hai
Inhi rutoon main mujhe wo udaas chor gaya.