Thursday, August 11, 2011

jo ho sakaa na judaa mujh se

jo ho sakaa na judaa mujh se door jaa kar bhii
maiN mutma'in hooN use haath se gaNvaa kar bhi

agarche vajah-e-azeeyat haiN uski yaadeiN bhi
milaa hai chain magar kab use bhulaa kar bhi

ugaa diyaa hai to kar sabz pairahan bhii ataa
maiN yooN to raazii hooN baNjar zameen paa kar bhi

jo saNg lagtaa thaa niklaa vo ru'ii kaa gaalaa
maiN muNtashir na huaa uski chouT khaa kar bhi

bujhaaye bujh nahiiN saktii badan kii aag kabhii
ki ab to dekh liyaa KhwaahisheN dabaa kar bhi

vah chashm-e-tar thii ki kaarooN ka Khazaana bhi
rahi bhari-ki-bhari sad-guhar luTaa kar bhi


zameer ki jo adaalat meN aagaye ''Khalid''
vo surKharoo na huaa Khoon meiN nahaa kar bhii